Javed Akhtar Poetry

mere mukhalif ne chaal chal di hai


mere mukhalif ne chaal chal di hai

mere mukhalif ne chaal chal di hai
aur ab
meri chaal ke intizaar mein hai
magar main kab se
safed-khaanon
siyaah-khaanon mein rakhe
kaale safed mohron ko dekhta hoon
main sochta hoon
ye mohre kya hain

agar main samjhoon
ke ye jo mohre hain
sirf lakdi ke hain khilone
to jeetna kya hai haarna kya
na ye zaroori
na vo ahem hai
agar khushi hai na jeetne ki
na haarne ka hi koi gham hai
to khel kya hai
main sochta hoon
jo khelna hai
to apne dil mein yaqeen kar luun
ye mohre sach-much ke baadshaah o wazeer
sach-much ke hain pyaade
aur in ke aage hai
dushmanon ki vo fauj
rakhti hai jo ki mujh ko tabaah karne ke
saare mansoobe
sab iraade
magar aisa jo maan bhi luun
to sochta hoon
ye khel kab hai
ye jang hai jis ko jeetna hai
ye jang hai jis mein sab hai jaayez
koi ye kehta hai jaise mujh se
ye jang bhi hai
ye khel bhi hai
ye jang hai par khilaadiyon ki
ye khel hai jang ki tarah ka
main sochta hoon
jo khel hai
is mein is tarah ka usool kyun hai
ki koi mohra rahe ki jaaye
magar jo hai baadshaah
us par kabhi koi aanch bhi na aaye
wazeer hi ko hai bas ijaazat
ki jis taraf bhi vo chahe jaaye

main sochta hoon
jo khel hai
is mein is tarah usool kyun hai
piyaada jo apne ghar se nikle
palat ke waapas na jaane paaye
main sochta hoon
agar yahi hai usool
to phir usool kya hai
agar yahi hai ye khel
to phir ye khel kya hai

main in sawaalon se jaane kab se uljh raha hoon
mere mukhalif ne chaal chal di hai
aur ab meri chaal ke intizaar mein hai
---------------------------------------
मिरे मुख़ालिफ़ ने चाल चल दी है
और अब
मेरी चाल के इंतिज़ार में है
मगर मैं कब से
सफ़ेद-ख़ानों
सियाह-ख़ानों में रक्खे
काले सफ़ेद मोहरों को देखता हूँ
मैं सोचता हूँ
ये मोहरे क्या हैं

अगर मैं समझूँ
के ये जो मोहरे हैं
सिर्फ़ लकड़ी के हैं खिलौने
तो जीतना क्या है हारना क्या
न ये ज़रूरी
न वो अहम है
अगर ख़ुशी है न जीतने की
न हारने का ही कोई ग़म है
तो खेल क्या है
मैं सोचता हूँ
जो खेलना है
तो अपने दिल में यक़ीन कर लूँ
ये मोहरे सच-मुच के बादशाह ओ वज़ीर
सच-मुच के हैं प्यादे
और इन के आगे है
दुश्मनों की वो फ़ौज
रखती है जो कि मुझ को तबाह करने के
सारे मंसूबे
सब इरादे
मगर ऐसा जो मान भी लूँ
तो सोचता हूँ
ये खेल कब है
ये जंग है जिस को जीतना है
ये जंग है जिस में सब है जाएज़
कोई ये कहता है जैसे मुझ से
ये जंग भी है
ये खेल भी है
ये जंग है पर खिलाड़ियों की
ये खेल है जंग की तरह का
मैं सोचता हूँ
जो खेल है
इस में इस तरह का उसूल क्यूँ है
कि कोई मोहरा रहे कि जाए
मगर जो है बादशाह
उस पर कभी कोई आँच भी न आए
वज़ीर ही को है बस इजाज़त
कि जिस तरफ़ भी वो चाहे जाए

मैं सोचता हूँ
जो खेल है
इस में इस तरह उसूल क्यूँ है
पियादा जो अपने घर से निकले
पलट के वापस न जाने पाए
मैं सोचता हूँ
अगर यही है उसूल
तो फिर उसूल क्या है
अगर यही है ये खेल
तो फिर ये खेल क्या है

मैं इन सवालों से जाने कब से उलझ रहा हूँ
मिरे मुख़ालिफ़ ने चाल चल दी है
और अब मेरी चाल के इंतिज़ार में है

Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 219