Tehzeeb Hafi Poetry

mariyam main aainon se gurez karte hue


mariyam main aainon se gurez karte hue

mariyam
main aainon se gurez karte hue
pahaadon ki kokh mein saans lene waali udaas jheelon mein apne chehre ka aks dekhoon to sochta hoon
ki mujh mein aisa bhi kya hai mariyam
tumhaari be-sakhta mohabbat zameen pe phaile hue samandar ki wusaaton se bhi maavra hai
mohabbaton ke samundaron mein bas ek bahira-e-hijr hai jo bura hai mariyam
khala-navardon ko jo sitaare muaawze mein mile the
vo unki raushni mein ye sochte hain
ki waqt hi to khuda hai mariyam
aur is taalluq ki gathriyon mein
ruki hui saatyon se hatkar
mere liye aur kya hai mariyam
abhi bahut waqt hai ki ham waqt de zara ik doosre ko
magar ham ik saath rahkar bhi khush na rah sake to muaaf karna
ki maine bachpan hi dukh ki dahleez par guzaara
main un charaagon ka dukh hoon jinki love shab-e-intezaar mein bujh gai
magar unse uthne waala dhuaan zamaan-o-makaan mein faila hua hai ab tak
main kohsaaron aur unke jismoon se bahne waali un aabshaaron ka dukh hoon jinko
zameen ke chehron par rengte rengte zamaane guzar gaye hain
jo log dil se utar gaye hain
kitaaben aankhon pe rakh ke soye the mar gaye hain
main unka dukh hoon
jo jism khud-lazzatee se ukta ke aainon ki tasalliyon mein pale badhe hain
main unka dukh hoon
main ghar se bhaage huo ka dukh hoon
main raat jaage huo ka dukh hoon
main sahilon se bandhi hui kashtiyon ka dukh hoon
main laapata ladkiyon ka dukh hoon
khuli hue khidkiyon ka dukh hoon
mitti hui takhtiyon ka dukh hoon
thake hue baadlon ka dukh hoon
jale hue junglon ka dukh hoon
jo khul kar barsi nahin hai main us ghatta ka dukh hoon
zameen ka dukh hoon
khuda ka dukh hoon
bala ka dukh hoon
jo shaakh saawan mein foottee hai vo shaakh tum ho
jo peeng baarish ke baad ban ban ke tootti hai vo peeng tum ho
tumhaare hothon se saatyon ne sama'aton ka sabq liya hai
tumhaari hi shaakh-e-sandlee se samundaron ne namak liya hai
tumhaara mera muaamla hi juda hai mariyam
tumhein to sab kuchh pata hai mariyam 
------------------------------------------------------
"मरियम"
मैं आईनों से गुरेज़ करते हुए
पहाड़ों की कोख में साँस लेने वाली उदास झीलों में अपने चेहरे का अक्स देखूँ तो सोचता हूँ
कि मुझ में ऐसा भी क्या है मरियम
तुम्हारी बे-साख़्ता मोहब्बत ज़मीं पे फैले हुए समंदर की वुसअतों से भी मावरा है
मोहब्बतों के समंदरों में बस एक बहिरा-ए-हिज्र है जो बुरा है मरियम
ख़ला-नवर्दों को जो सितारे मुआवज़े में मिले थे
वो उनकी रौशनी में ये सोचते हैं
कि वक़्त ही तो ख़ुदा है मरियम
और इस तअल्लुक़ की गठरियों में
रुकी हुई सआतों से हटकर
मेरे लिए और क्या है मरियम
अभी बहुत वक़्त है कि हम वक़्त दे ज़रा इक दूसरे को
मगर हम इक साथ रहकर भी ख़ुश न रह सके तो मुआफ़ करना
कि मैंने बचपन ही दुख की दहलीज़ पर गुज़ारा
मैं उन चराग़ों का दुख हूँ जिनकी लवे शब-ए-इंतज़ार में बुझ गई
मगर उनसे उठने वाला धुआँ ज़मान-ओ-मकाँ में फैला हुआ है अब तक
मैं कोहसारों और उनके जिस्मों से बहने वाली उन आबशारों का दुख हूँ जिनको
ज़मीं के चेहरों पर रेंगते रेंगते ज़माने गुज़र गए हैं
जो लोग दिल से उतर गए हैं
किताबें आँखों पे रख के सोए थे मर गए हैं
मैं उनका दुख हूँ
जो जिस्म ख़ुद-लज़्जती से उकता के आईनों की तसल्लिओं में पले बढ़े हैं
मैं उनका दुख हूँ
मैं घर से भागे हुओ का दुख हूँ
मैं रात जागे हुओ का दुख हूँ
मैं साहिलों से बँधी हुई कश्तियों का दुख हूँ
मैं लापता लड़कियों का दुख हूँ
खुली हुए खिड़कियों का दुख हूँ
मिटी हुई तख़्तियों का दुख हूँ
थके हुए बादलों का दुख हूँ
जले हुए जंगलों का दुख हूँ
जो खुल कर बरसी नहीं है, मैं उस घटा का दुख हूँ
ज़मीं का दुख हूँ
ख़ुदा का दुख हूँ
बला का दुख हूँ
जो शाख सावन में फूटती है वो शाख तुम हो
जो पींग बारिश के बाद बन बन के टूटती है वो पींग तुम हो
तुम्हारे होठों से सआतों ने समाअतों का सबक़ लिया है
तुम्हारी ही शाख-ए-संदली से समंदरों ने नमक लिया है
तुम्हारा मेरा मुआमला ही जुदा है मरियम
तुम्हें तो सब कुछ पता है मरियम

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 216