Javed Akhtar Poetry

main kitni sadiyon se tak raha hoon


main kitni sadiyon se tak raha hoon

main kitni sadiyon se tak raha hoon
ye kaayenaat aur is ki wus'at
tamaam hairat tamaam hairat
ye kya tamasha ye kya samaan hai
ye kya ayaan hai ye kya nihaan hai
athaah saaghar hai ik khala ka
na jaane kab se na jaane kab tak
kahaan talak hai
hamaari nazaron ki intiha hai
jise samjhte hain ham falak hai

ye raat ka chhalni chhalni sa kaala aasmaan hai
ki jis mein jugnoo ki shakl mein
be-shumaar suraj pighal rahe hain
shahaab-e-saaqib hai
ya hamesha ki thandi kaali fazaaon mein
jaise aag ke teer chal rahe hain
karod-ha noori barson ke faaslon mein phaili
ye kahkashaaen
khala ghere hain
ya khalaon ki qaid mein hai
ye kaun kis ko liye chala hai
har ek lamha
karodon meelon ki jo masafat hai
in ko aakhir kahaan hai jaana
agar hai in ka kahi koi aakhiri thikaana
to vo kahaan hai

jahaan kahi hai
sawaal ye hai
wahan se aage koi zameen hai
koi falak hai
agar nahin hai
to ye nahin kitni door tak hai

main kitni sadiyon se tak raha hoon
ye kaayenaat aur is ki wus'at
tamaam hairat tamaam hairat
sitaare jin ki safeer kirnen
karodon barson se raah mein hai
zameen se milne ki chaah mein hai
kabhi to aa ke karengi ye meri aankhen raushan
kabhi to aayegi mere haathon mein raushni ka ek aisa daaman
ki jis ko thaame main ja ke dekhoonga in khalaon ke
phaile aangan
kabhi to mujh ko ye kaayenaat apne raaz khul ke
suna hi degi
ye apna aaghaaz apna anjaam
mujh ko ik din bata hi degi

agar koi waiz apne mimbar se
nakhwat-aamez lahzhe mein ye kahe
ki tum to kabhi samajh hi nahin sakoge
ki is qadar hai ye baat gahri
to koi pooche
jo main na samjha
to kaun samjhaayega
aur jis ko kabhi na koi samajh sake
aisi baat to phir fuzool thehri 
----------------------------------
मैं कितनी सदियों से तक रहा हूँ
ये काएनात और इस की वुसअत
तमाम हैरत तमाम हैरत
ये क्या तमाशा ये क्या समाँ है
ये क्या अयाँ है ये क्या निहाँ है
अथाह साग़र है इक ख़ला का
न जाने कब से न जाने कब तक
कहाँ तलक है
हमारी नज़रों की इंतिहा है
जिसे समझते हैं हम फ़लक है

ये रात का छलनी छलनी सा काला आसमाँ है
कि जिस में जुगनू की शक्ल में
बे-शुमार सूरज पिघल रहे हैं
शहाब-ए-साक़िब है
या हमेशा की ठंडी काली फ़ज़ाओं में
जैसे आग के तीर चल रहे हैं
करोड़-हा नूरी बरसों के फ़ासलों में फैली
ये कहकशाएँ
ख़ला घेरे हैं
या ख़लाओं की क़ैद में है
ये कौन किस को लिए चला है
हर एक लम्हा
करोड़ों मीलों की जो मसाफ़त है
इन को आख़िर कहाँ है जाना
अगर है इन का कहीं कोई आख़िरी ठिकाना
तो वो कहाँ है

जहाँ कहीं है
सवाल ये है
वहाँ से आगे कोई ज़मीं है
कोई फ़लक है
अगर नहीं है
तो ये नहीं कितनी दूर तक है

मैं कितनी सदियों से तक रहा हूँ
ये काएनात और इस की वुसअत
तमाम हैरत तमाम हैरत
सितारे जिन की सफ़ीर किरनें
करोड़ों बरसों से राह में है
ज़मीं से मिलने की चाह में है
कभी तो आ के करेंगी ये मेरी आँखें रौशन
कभी तो आएगी मेरे हाथों में रौशनी का एक ऐसा दामन
कि जिस को थामे मैं जा के देखूँगा इन ख़लाओं के
फैले आँगन
कभी तो मुझ को ये काएनात अपने राज़ खुल के
सुना ही देगी
ये अपना आग़ाज़ अपना अंजाम
मुझ को इक दिन बता ही देगी

अगर कोई वाइज़ अपने मिम्बर से
नख़वत-आमेज़ लहज़े में ये कहे
कि तुम तो कभी समझ ही नहीं सकोगे
कि इस क़दर है ये बात गहरी
तो कोई पूछे
जो मैं न समझा
तो कौन समझाएगा
और जिस को कभी न कोई समझ सके
ऐसी बात तो फिर फ़ुज़ूल ठहरी


Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 35