Javed Akhtar Poetry

main banjaara waqt ke kitne shehron se guzra hoon


main banjaara waqt ke kitne shehron se guzra hoon

main banjaara
waqt ke kitne shehron se guzra hoon
lekin
waqt ke is ik shehar se jaate jaate mud ke dekh raha hoon
soch raha hoon
tum se mera ye naata bhi toot raha hai
tum ne mujh ko chhodaa tha jis shehar mein aa kar
waqt ka ab vo shehar bhi mujh se chhoot raha hai
mujh ko vidaa karne aaye hain
is nagri ke saare baasi
vo saare din
jin ke kandhe par soti hai
ab bhi tumhaari zulf ki khushboo
saare lamhe
jin ke maathe par raushan
ab bhi tumhaare lams ka teeka
nam aankhon se
gum-sum mujh ko dekh rahe hain
mujh ko in ke dukh ka pata hai
in ko mere gham ki khabar hai
lekin mujh ko hukm-e-safar hai
jaana hoga
waqt ke agle shehar mujhe ab jaana hoga

waqt ke agle shehar ke saare baashinde
sab din sab raatein
jo tum se na-waaqif honge
vo kab meri baat sunenge
mujh se kaheinge
jaao apni raah lo raahi
ham ko kitne kaam pade hain
jo beeti so beet gai
ab vo baatein kyun dohraate ho
kandhe par ye jholi rakhe
kyun firte ho kya paate ho
main be-chaara
ik banjaara
aawaara firte firte jab thak jaaunga
tanhaai ke teele par ja kar baithoonga
phir jaise pehchaan ke mujh ko
ik banjaara jaan ke mujh ko
waqt ke agle shehar ke saare nanhe-munne bhole lamhe
nange paanv
daude daude bhaage bhaage aa jaayenge
mujh ko gher ke baithege
aur mujh se kaheinge
kyun banjaare
tum to waqt ke kitne shehron se guzre ho
un shehron ki koi kahaani hamein sunaao
un se kahunga
nanhe lamho
ek thi raani
sun ke kahaani
saare nanhe lamhe
gamgeen ho kar mujh se ye poochhenge
tum kyun in ke shehar na aayein
lekin un ko bahla loonga
un se kahunga
ye mat poocho
aankhen moond
aur ye socho
tum hoti to kaisa hota
tum ye kahtiin
tum vo kahtiin
tum is baat pe hairaan hoti
tum us baat pe kitni hanstiin
tum hoti to aisa hota
tum hoti to waisa hota

dheere dheere
mere saare nanhe lamhe
so jaayenge
aur main
phir hawle se uth kar
apni yaadon ki jholi kandhe par rakh kar
phir chal doonga
waqt ke agle shehar ki jaanib
nanhe lamhon ko samjhaane
bhule lamhon ko bahaalne
yahi kahaani phir dohraane
tum hoti to aisa hota
tum hoti to waisa hota 
---------------------------------
मैं बंजारा
वक़्त के कितने शहरों से गुज़रा हूँ
लेकिन
वक़्त के इस इक शहर से जाते जाते मुड़ के देख रहा हूँ
सोच रहा हूँ
तुम से मेरा ये नाता भी टूट रहा है
तुम ने मुझ को छोड़ा था जिस शहर में आ कर
वक़्त का अब वो शहर भी मुझ से छूट रहा है
मुझ को विदाअ करने आए हैं
इस नगरी के सारे बासी
वो सारे दिन
जिन के कंधे पर सोती है
अब भी तुम्हारी ज़ुल्फ़ की ख़ुशबू
सारे लम्हे
जिन के माथे पर रौशन
अब भी तुम्हारे लम्स का टीका
नम आँखों से
गुम-सुम मुझ को देख रहे हैं
मुझ को इन के दुख का पता है
इन को मेरे ग़म की ख़बर है
लेकिन मुझ को हुक्म-ए-सफ़र है
जाना होगा
वक़्त के अगले शहर मुझे अब जाना होगा

वक़्त के अगले शहर के सारे बाशिंदे
सब दिन सब रातें
जो तुम से ना-वाक़िफ़ होंगे
वो कब मेरी बात सुनेंगे
मुझ से कहेंगे
जाओ अपनी राह लो राही
हम को कितने काम पड़े हैं
जो बीती सो बीत गई
अब वो बातें क्यूँ दोहराते हो
कंधे पर ये झोली रक्खे
क्यूँ फिरते हो क्या पाते हो
मैं बे-चारा
इक बंजारा
आवारा फिरते फिरते जब थक जाऊँगा
तन्हाई के टीले पर जा कर बैठूँगा
फिर जैसे पहचान के मुझ को
इक बंजारा जान के मुझ को
वक़्त के अगले शहर के सारे नन्हे-मुन्ने भोले लम्हे
नंगे पाँव
दौड़े दौड़े भागे भागे आ जाएँगे
मुझ को घेर के बैठेंगे
और मुझ से कहेंगे
क्यूँ बंजारे
तुम तो वक़्त के कितने शहरों से गुज़रे हो
उन शहरों की कोई कहानी हमें सुनाओ
उन से कहूँगा
नन्हे लम्हो!
एक थी रानी
सुन के कहानी
सारे नन्हे लम्हे
ग़मगीं हो कर मुझ से ये पूछेंगे
तुम क्यूँ इन के शहर न आईं
लेकिन उन को बहला लूँगा
उन से कहूँगा
ये मत पूछो
आँखें मूँदो
और ये सोचो
तुम होतीं तो कैसा होता
तुम ये कहतीं
तुम वो कहतीं
तुम इस बात पे हैराँ होतीं
तुम उस बात पे कितनी हँसतीं
तुम होतीं तो ऐसा होता
तुम होतीं तो वैसा होता

धीरे धीरे
मेरे सारे नन्हे लम्हे
सो जाएँगे
और मैं
फिर हौले से उठ कर
अपनी यादों की झोली कंधे पर रख कर
फिर चल दूँगा
वक़्त के अगले शहर की जानिब
नन्हे लम्हों को समझाने
भूले लम्हों को बहलाने
यही कहानी फिर दोहराने
तुम होतीं तो ऐसा होता
तुम होतीं तो वैसा होता

Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 225