Javed Akhtar Poetry

kuchh tum ne kaha kuchh main ne kaha


kuchh tum ne kaha kuchh main ne kaha

kuchh tum ne kaha
kuchh main ne kaha
aur badhte badhte baat badhi
dil oob gaya
dil doob gaya
aur gahri kaali raat badhi

tum apne ghar
main apne ghar
saare darwaaze band kiye
baithe hain kadve ghoont piye
odhe hain gusse ki chadar

kuchh tum socho
kuchh main sochun
kyun unchi hain ye deewarein
kab tak ham in par sar maarein
kab tak ye andhere rahne hain
keena ke ye ghere rahne hain
chalo apne darwaaze khole
aur ghar ke baahar aayein ham
dil thehre jahaan hain barson se
vo ik nukkad hai nafrat ka
kab tak is nukkad par thehre
ab is ke aage jaayen ham
bas thodi door ik dariya hai
jahaan ek ujaala bahta hai
waan lehron lehron hain kirnen
aur kirnon kirnon hain lahren
in kirnon mein
in lehron mein
ham dil ko khoob nahaane den
seenon mein jo ik patthar hai
us patthar ko ghul jaane den
dil ke ik kone mein bhi chhupi
gar thodi si bhi nafrat hai
is nafrat ko dhul jaane den
dono ki taraf se jis din bhi
izhaar nadaamat ka hoga
tab jashn mohabbat ka hoga 
-------------------------------
कुछ तुम ने कहा
कुछ मैं ने कहा
और बढ़ते बढ़ते बात बढ़ी
दिल ऊब गया
दिल डूब गया
और गहरी काली रात बढ़ी

तुम अपने घर
मैं अपने घर
सारे दरवाज़े बंद किए
बैठे हैं कड़वे घूँट पिए
ओढ़े हैं ग़ुस्से की चादर

कुछ तुम सोचो
कुछ मैं सोचूँ
क्यूँ ऊँची हैं ये दीवारें
कब तक हम इन पर सर मारें
कब तक ये अँधेरे रहने हैं
कीना के ये घेरे रहने हैं
चलो अपने दरवाज़े खोलें
और घर के बाहर आएँ हम
दिल ठहरे जहाँ हैं बरसों से
वो इक नुक्कड़ है नफ़रत का
कब तक इस नुक्कड़ पर ठहरें
अब इस के आगे जाएँ हम
बस थोड़ी दूर इक दरिया है
जहाँ एक उजाला बहता है
वाँ लहरों लहरों हैं किरनें
और किरनों किरनों हैं लहरें
इन किरनों में
इन लहरों में
हम दिल को ख़ूब नहाने दें
सीनों में जो इक पत्थर है
उस पत्थर को घुल जाने दें
दिल के इक कोने में भी छुपी
गर थोड़ी सी भी नफ़रत है
इस नफ़रत को धुल जाने दें
दोनों की तरफ़ से जिस दिन भी
इज़हार नदामत का होगा
तब जश्न मोहब्बत का होगा


Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 34