Faiz Ahmed Faiz Poetry

khuda vo waqt na laaye ki sogwaar ho tu


khuda vo waqt na laaye ki sogwaar ho tu

khuda vo waqt na laaye ki sogwaar ho tu
sakoon ki neend tujhe bhi haraam ho jaaye
tiri masarrat-e-paiham tamaam ho jaaye
tiri hayaat tujhe talkh jaam ho jaaye
ghamon se aaina-e-dil gudaaz ho tera
hujoom-e-yaas se betaab ho ke rah jaaye
wufoor-e-dard se seemaab hoke rah jaaye
tira shabaab faqat khwaab ho ke rah jaaye
ghuroor-e-husn saraapa niyaaz ho tera
taveel raaton mein tu bhi qaraar ko tarse
tiri nigaah kisi gham-gusaar ko tarse
khizaan-raseeda tamannaa bahaar ko tarse
koi jabeen na tire sang-e-aastaan pe jhuke
ki jins-e-izz-o-aqeedat se tujh ko shaad kare
fareb-e-waada-e-farda pe e'timaad kare
khuda vo waqt na laaye ki tujh ko yaad aaye
vo dil ki tere liye be-qaraar ab bhi hai
vo aankh jis ko tira intizaar ab bhi hai 
----------------------------------------------
ख़ुदा वो वक़्त न लाए कि सोगवार हो तू
सकूँ की नींद तुझे भी हराम हो जाए
तिरी मसर्रत-ए-पैहम तमाम हो जाए
तिरी हयात तुझे तल्ख़ जाम हो जाए
ग़मों से आईना-ए-दिल गुदाज़ हो तेरा
हुजूम-ए-यास से बेताब हो के रह जाए
वुफ़ूर-ए-दर्द से सीमाब होके रह जाए
तिरा शबाब फ़क़त ख़्वाब हो के रह जाए
ग़ुरूर-ए-हुस्न सरापा नियाज़ हो तेरा
तवील रातों में तू भी क़रार को तरसे
तिरी निगाह किसी ग़म-गुसार को तरसे
ख़िज़ाँ-रसीदा तमन्ना बहार को तरसे
कोई जबीं न तिरे संग-ए-आस्ताँ पे झुके
कि जिंस-ए-इज्ज़-ओ-अक़ीदत से तुझ को शाद करे
फ़रेब-ए-वादा-ए-फ़र्दा पे ए'तिमाद करे
ख़ुदा वो वक़्त न लाए कि तुझ को याद आए
वो दिल कि तेरे लिए बे-क़रार अब भी है
वो आँख जिस को तिरा इंतिज़ार अब भी है

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 47