Sohaib Mugheera Siddiqi Poetry

izteraab jahaan main izteraab hai


izteraab jahaan main izteraab hai

izteraab
jahaan main izteraab hai
nahin nahin
jahaan hi izteraab hai
hazaar haan kawaakabo najoom haay kahkashaan se
atammon ki kokh tak
madaar dar madaar har vujood be qaraar hai
ye mehro maaho mushtari se har electron tak
ye jhoom jhoom ghoomne main jis tarah ka raqs hai
mujhe samajh main aa gaya
jahaan tera aks hai
vo aks jo jagah jagah qadam qadam ridham pe hai
jahaan ain sur main hai jahaan ain saim pe hai
jahaan tarannumon ki list main se intikhaab hai
jo tujh haseen dimaagh ke haseen la shaour main bana ho
aisa khwaab hai
jahaan izteraab hai
mujhe samajh main aa gaya hai ye jahaan
khaala makaan zamaan ke chand taar se bana hua sitaar hai
usse kaho kisi tarah sitaar chhedti rahe
usse kaho ke thodi dier aur bolti rahe 
-----------------------------------------
इज़्तेराब
जहां मैं इज़्तेराब है?
नहीं नहीं
जहां ही इज़्तेराब है
हज़ार हां कवाकबो नजूम हाय कहकशां से
अतंमों की कोख तक
मदार दर मदार हर वजूद बे क़रार है
ये मेहरो माहो मुश्तरी से हर इलेक्ट्रान तक
ये झूम झूम घूमने मैं जिस तरह का रक़्स है
मुझे समझ मैं आ गया
जहां तेरा अक्स है
वो अक्स जो जगह जगह क़दम क़दम रिधम पे है
जहांन ऐन सुर मैं है जहांन ऐन सैम पे है
जहांन तरन्नुमों की लिस्ट मैं से इंतिखाब है
जो 'तुझ हसीं दिमाग़ के हसीं ला शऊर मैं बना हो
ऐसा ख्वाब है
जहांन इज़्तेराब है
मुझे समझ मैं आ गया है ये जहांन
खाला, मकान, ज़मान के चंद तार से बना हुआ सितार है
उससे कहो किसी तरह सितार छेड़ती रहे
उससे कहो के थोड़ी दिएर और बोलती रहे


Poet - Sohaib Mugheera Siddiqi
Location: Lahore, Pakistan
Views: 530