Faiz Ahmed Faiz Poetry

ik zara sochne do


ik zara sochne do

ik zara sochne do
is khayaabaan mein
jo is lahza biyaabaan bhi nahin
kaun si shaakh mein phool aaye the sab se pehle
kaun be-rang hui ranj-o-tab se pehle
aur ab se pehle
kis ghadi kaun se mausam mein yahan
khoon ka qahat pada
gul ki shah-rag pe kada
waqt pada
sochne do
sochne do
ik zara sochne do
ye bhara shehar jo ab vaadi-e-veeraan bhi nahin
is mein kis waqt kahaan
aag lagi thi pehle
is ke saf-basta dareechon mein se kis mein awwal
zeh hui surkh shuaaon ki kamaan
kis jagah jot jagi thi pehle
sochne do
ham se us des ka tum naam o nishaan poochte ho
jis ki taarikh na jugraafiya ab yaad aaye
aur yaad aaye to mahboo-e-guzishta yaad aaye
roo-b-roo aane se jee ghabraaye
haan magar jaise koi
aise mehboob ya mahbooba ka dil rakhne ko
aa nikalta hai kabhi raat bitaane ke liye
ham ab us umr ko aa pahunchen hain jab ham bhi yoonhi
dil se mil aate hain bas rasm nibhaane ke liye
dil ki kya poochte ho
sochne do 
----------------------
इक ज़रा सोचने दो
इस ख़याबाँ में
जो इस लहज़ा बयाबाँ भी नहीं
कौन सी शाख़ में फूल आए थे सब से पहले
कौन बे-रंग हुई रंज-ओ-तअब से पहले
और अब से पहले
किस घड़ी कौन से मौसम में यहाँ
ख़ून का क़हत पड़ा
गुल की शह-रग पे कड़ा
वक़्त पड़ा
सोचने दो
सोचने दो
इक ज़रा सोचने दो
ये भरा शहर जो अब वादी-ए-वीराँ भी नहीं
इस में किस वक़्त कहाँ
आग लगी थी पहले
इस के सफ़-बस्ता दरीचों में से किस में अव्वल
ज़ह हुई सुर्ख़ शुआओं की कमाँ
किस जगह जोत जगी थी पहले
सोचने दो
हम से उस देस का तुम नाम ओ निशाँ पूछते हो
जिस की तारीख़ न जुग़राफ़िया अब याद आए
और याद आए तो महबू-ए-गुज़िश्ता याद आए
रू-ब-रू आने से जी घबराए
हाँ मगर जैसे कोई
ऐसे महबूब या महबूबा का दिल रखने को
आ निकलता है कभी रात बिताने के लिए
हम अब उस उम्र को आ पहुँचे हैं जब हम भी यूँही
दिल से मिल आते हैं बस रस्म निभाने के लिए
दिल की क्या पूछते हो
सोचने दो

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 43