Ahmed Faraz Poetry

Huzoor aap aur nisf shab mere makaan par


Huzoor aap aur nisf shab mere makaan par

Huzoor aap aur nisf shab mere makaan par
Huzoor ki tamaam-tar balaayen meri jaan par

Huzoor khairiyat to hai, huzoor kyun khamosh hain
Huzoor boliye ke waswase wabaal-e-hosh hain

Huzoor hont is tarah se kapka rahe hain kyun
Huzoor aap har qadam pe ladkhada rahe hain kyun

Huzoor aap ki nazar mein neend ka khumaar hai
Huzoor shayad aaj dushmanon ko kuch bukhaar hai

Huzoor muskara rahe hain meri baat-baat par
Huzoor ko na jaane kya gumaan hai meri zaat par

Huzoor munh se beh rahi hai peek, saaf kijiye
Huzoor aap to nashe mein hain, muaaf kijiye

Huzoor kya kaha? Main aap ko bahut azeez hoon
Huzoor ka karam hai, warna main bhi koi cheez hoon

Huzoor chhodiye humein hazaar aur rog hain
Huzoor jaiye ki hum bahut gareeb log hain.
------------------------------------------
हुज़ूर आप और निस्फ़ शब मिरे मकान पर
हुज़ूर की तमाम-तर बलाएँ मेरी जान पर

हुज़ूर ख़ैरियत तो है हुज़ूर क्यूँ ख़मोश हैं
हुज़ूर बोलिए कि वसवसे वबाल-ए-होश हैं

हुज़ूर होंट इस तरह से कपकपा रहे हैं क्यूँ
हुज़ूर आप हर क़दम पे लड़-खड़ा रहे हैं क्यूँ

हुज़ूर आप की नज़र में नींद का ख़ुमार है
हुज़ूर शायद आज दुश्मनों को कुछ बुख़ार है

हुज़ूर मुस्कुरा रहे हैं मेरी बात बात पर
हुज़ूर को न जाने क्या गुमाँ है मेरी ज़ात पर

हुज़ूर मुँह से ब रही है पीक साफ़ कीजिए
हुज़ूर आप तो नशे में हैं मुआफ़ कीजिए

हुज़ूर क्या कहा मैं आप को बहुत अज़ीज़ हूँ
हुज़ूर का करम है वर्ना मैं भी कोई चीज़ हूँ

हुज़ूर छोड़िए हमें हज़ार और रोग हैं
हुज़ूर जाइए कि हम बहुत ग़रीब लोग हैं


Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 402