Jaun Elia Poetry

har baar mere saamne aati rahi ho tum


har baar mere saamne aati rahi ho tum

saza
har baar mere saamne aati rahi ho tum
har baar tum se mil ke bichhadta raha hoon main
tum kaun ho yah khud bhi nahin jaanti ho tum
main kaun hoon main khud bhi nahin jaanta hoon main
tum mujhko jaan kar hi padi ho azaab mein
aur is tarah khud apni saza ban gaya hoon main

tum jis zameen par ho main uska khuda nahin
pas sar-basar ajeeziyyat wa aazaar hi raho
bejaar ho gai ho bahut zindagi se tum
jab bas mein kuchh nahin hai to bezaar hi raho
tum ko yahaan ke saaya wa partau se kya ghaz
tum apne haq mein beech ki deewaar hi raho

main ibtida-e-ishq se be-mehar hi raha
tum intiha-e-ishq ka meyaar hi raho
tum khoon thooktee ho yah sun kar khushi hui
is rang is ada mein bhi purkaar hi raho
maine yah kab kaha tha mohabbat mein hai najaat
maine yah kab kaha tha wafadar hi raho
apni mataa-e-naaz luta kar mere liye
bazaar-e-iltefaat mein nadaar hi raho

jab main tumhein nishaat-e-mohabbat na de saka
gham mein kabhi sukoon rafaqat na de saka
jab mere sab charaagh-e-tamanna hawa ke hain
jab mere saare khwaab kisi bewafa ke hain
phir mujhko chaahne ka tumhein koi haq nahin
tanhaa karaahne ka tumhein koi haq nahin 
----------------------------------------------
"सज़ा"
हर बार मेरे सामने आती रही हो तुम
हर बार तुम से मिल के बिछड़ता रहा हूँ मैं
तुम कौन हो यह ख़ुद भी नहीं जानती हो तुम
मैं कौन हूँ मैं ख़ुद भी नहीं जानता हूँ मैं
तुम मुझको जान कर ही पड़ी हो अज़ाब में
और इस तरह ख़ुद अपनी सज़ा बन गया हूँ मैं

तुम जिस ज़मीन पर हो मैं उसका ख़ुदा नहीं
पस सर-बसर अजी़य्यत व आजा़र ही रहो
बेजा़र हो गई हो बहुत ज़िन्दगी से तुम
जब बस में कुछ नहीं है तो बेज़ार ही रहो
तुम को यहां के साया व परतौ से क्या ग़र्ज़
तुम अपने हक़ में बीच की दीवार ही रहो

मैं इब्तिदा-ए-इश्क़ से बेमहर ही रहा
तुम इन्तिहा-ए-इश्क़ का मेयार ही रहो
तुम ख़ून थूकती हो यह सुन कर ख़ुशी हुई
इस रंग इस अदा में भी पुरकार ही रहो
मैंने यह कब कहा था मोहब्बत में है नजात
मैंने यह कब कहा था वफ़ादार ही रहो
अपनी मता-ए-नाज़ लुटा कर मेरे लिए
बाज़ार-ए-इल्तिफ़ात में नादार ही रहो

जब मैं तुम्हें निशात-ए-मोहब्बत न दे सका
ग़म में कभी सुकून रफा़क़त न दे सका
जब मेरे सब चराग़-ए-तमन्ना हवा के हैं
जब मेरे सारे ख़्वाब किसी बेवफ़ा के हैं
फिर मुझको चाहने का तुम्हें कोई हक़ नहीं
तन्हा कराहने का तुम्हें कोई हक़ नहीं

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 215