Jaun Elia Poetry

hamesha qatl ho jaata hoon main


hamesha qatl ho jaata hoon main

hamesha qatl ho jaata hoon main
bisaat-e-zindagi to har ghadi bichhti hai uthati hai
yahan par jitne khaane jitne ghar hain
saare
khushiyaan aur gham ina'am karte hain
yahan par saare mohre
apni apni chaal chalte hain
kabhi mahsoor hote hain kabhi aage nikalte hain
yahan par shah bhi padti hai
yahan par maat hoti hai
kabhi ik chaal taltee hai
kabhi baazi palatti hai
yahan par saare mohre apni apni chaal chalte hain
magar main vo piyaada hoon
jo har ghar mein
kabhi is shah se pehle aur kabhi us maat se pehle
kabhi ik burd se pehle kabhi aafat se pehle
hamesha qatl ho jaata hai 
-------------------------------------
"हमेशा क़त्ल हो जाता हूँ मैं"
बिसात-ए-ज़िंदगी तो हर घड़ी बिछती है उठती है
यहाँ पर जितने ख़ाने जितने घर हैं
सारे
ख़ुशियाँ और ग़म इनआ'म करते हैं
यहाँ पर सारे मोहरे
अपनी अपनी चाल चलते हैं
कभी महसूर होते हैं कभी आगे निकलते हैं
यहाँ पर शह भी पड़ती है
यहाँ पर मात होती है
कभी इक चाल टलती है
कभी बाज़ी पलटती है
यहाँ पर सारे मोहरे अपनी अपनी चाल चलते हैं
मगर मैं वो पियादा हूँ
जो हर घर में
कभी इस शह से पहले और कभी उस मात से पहले
कभी इक बुर्द से पहले कभी आफ़ात से पहले
हमेशा क़त्ल हो जाता है

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 211