Faiz Ahmed Faiz Poetry

gul hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam


gul hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam

gul hui jaati hai afsurda sulagti hui shaam
dhul ke niklegi abhi chashma-e-mahtaab se raat
aur mushtaaq nigaahon ki sooni jaayegi
aur un haathon se mas honge ye tarse hue haath
un ka aanchal hai ki rukhsaar ki pairaahan hai
kuchh to hai jis se hui jaati hai chilman rangeen
jaane us zulf ki mauhoom ghani chaanv mein
timtimaata hai vo aaweza abhi tak ki nahin
aaj phir husn-e-dil-aara ki wahi dhaj hogi
wahi khwaabida si aankhen wahi kaajal ki lakeer
rang-e-rukhsaar pe halka sa vo ghaaze ka ghubaar
sandali haath pe dhundli si hina ki tahreer
apne afkaar ki ashaar ki duniya hai yahi
jaan-e-mazmoon hai yahi shaahid-e-ma'ni hai yahi
aaj tak surkh o siyah sadiyon ke saaye ke tale
aadam o hawwa ki aulaad pe kya guzri hai
maut aur zeest ki rozaana saf-aaraai mein
ham pe kya guzregi ajdaad pe kya guzri hai
in damakte hue shehron ki faraawan makhluq
kyun faqat marne ki hasrat mein jiya karti hai
ye haseen khet fata padta hai jauban jin ka
kis liye in mein faqat bhook ugaa karti hai
ye har ik samt pur-asraar kaddi deewarein
jal-bujhe jin mein hazaaron ki jawaani ke charaagh
ye har ik gaam pe un khwaabon ki maqtal-gaahein
jin ke partav se charaaghaan hain hazaaron ke dimaagh
ye bhi hain aise kai aur bhi mazmoon honge
lekin us shokh ke aahista se khulte hue hont
haaye us jism ke kambakht dil-aawez khutoot
aap hi kahiye kahi aise bhi afsoon honge

apna mauzoo-e-sukhan un ke siva aur nahin
tabb-e-shaaer ka watan un ke siva aur nahin 
-------------------------------------------
गुल हुई जाती है अफ़्सुर्दा सुलगती हुई शाम
धुल के निकलेगी अभी चश्मा-ए-महताब से रात
और मुश्ताक़ निगाहों की सुनी जाएगी
और उन हाथों से मस होंगे ये तरसे हुए हात
उन का आँचल है कि रुख़्सार कि पैराहन है
कुछ तो है जिस से हुई जाती है चिलमन रंगीं
जाने उस ज़ुल्फ़ की मौहूम घनी छाँव में
टिमटिमाता है वो आवेज़ा अभी तक कि नहीं
आज फिर हुस्न-ए-दिल-आरा की वही धज होगी
वही ख़्वाबीदा सी आँखें वही काजल की लकीर
रंग-ए-रुख़्सार पे हल्का सा वो ग़ाज़े का ग़ुबार
संदली हाथ पे धुंदली सी हिना की तहरीर
अपने अफ़्कार की अशआर की दुनिया है यही
जान-ए-मज़मूँ है यही शाहिद-ए-मअ'नी है यही
आज तक सुर्ख़ ओ सियह सदियों के साए के तले
आदम ओ हव्वा की औलाद पे क्या गुज़री है?
मौत और ज़ीस्त की रोज़ाना सफ़-आराई में
हम पे क्या गुज़रेगी अज्दाद पे क्या गुज़री है?
इन दमकते हुए शहरों की फ़रावाँ मख़्लूक़
क्यूँ फ़क़त मरने की हसरत में जिया करती है
ये हसीं खेत फटा पड़ता है जौबन जिन का!
किस लिए इन में फ़क़त भूक उगा करती है
ये हर इक सम्त पुर-असरार कड़ी दीवारें
जल-बुझे जिन में हज़ारों की जवानी के चराग़
ये हर इक गाम पे उन ख़्वाबों की मक़्तल-गाहें
जिन के परतव से चराग़ाँ हैं हज़ारों के दिमाग़
ये भी हैं ऐसे कई और भी मज़मूँ होंगे
लेकिन उस शोख़ के आहिस्ता से खुलते हुए होंट
हाए उस जिस्म के कम्बख़्त दिल-आवेज़ ख़ुतूत
आप ही कहिए कहीं ऐसे भी अफ़्सूँ होंगे

अपना मौज़ू-ए-सुख़न उन के सिवा और नहीं
तब्अ-ए-शाएर का वतन उन के सिवा और नहीं

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 42