Faiz Ahmed Faiz Poetry

gar mujhe is ka yaqeen ho mere hamdam mere dost


gar mujhe is ka yaqeen ho mere hamdam mere dost

gar mujhe is ka yaqeen ho mere hamdam mere dost
gar mujhe is ka yaqeen ho ki tire dil ki thakan
tiri aankhon ki udaasi tere seene ki jalan
meri dil-jooi mere pyaar se mit jaayegi
gar mera harf-e-tasalli vo dava ho jis se
jee uthe phir tira ujda hua be-noor dimaagh
teri peshaani se dhal jaayen ye tazleel ke daagh
teri beemaar jawaani ko shifaa ho jaaye
gar mujhe is ka yaqeen ho mere hamdam mare dost
roz o shab shaam o sehar main tujhe behlaata rahoon
main tujhe geet sunaata rahoon halke sheerin
aabshaaron ke bahaaron ke chaman-zaaron ke geet
aamd-e-subh ke mahtaab ke sayyaaron ke geet
tujh se main husn-o-mohabbat ki hikaayat kahoon
kaise maghroor haseenaon ke barfaab se jism
garm haathon ki hararat mein pighal jaate hain
kaise ik chehre ke thehre hue maanoos nuqoosh
dekhte dekhte yak-lakht badal jaate hain
kis tarah aariz-e-mahboob ka shaffaaf bilor
yak-b-yak baada-e-ahmar se dahak jaata hai
kaise gulchein ke liye jhukti hai khud shaakh-e-gulaab
kis tarah raat ka aiwaan mahak jaata hai
yoonhi gaata rahoon gaata rahoon teri khaatir
geet bunta rahoon baitha rahoon teri khaatir
par mere geet tire dukh ka mudaava hi nahin
naghma jarraah nahin moonis-o-gham khwaar sahi
geet nashtar to nahin marham-e-aazaar sahi
tere aazaar ka chaara nahin nashtar ke siva
aur ye saffaaq maseeha mere qabze mein nahin
is jahaan ke kisi zee-rooh ke qabze mein nahin
haan magar tere siva tere siva tere siva 
----------------------------------------------
गर मुझे इस का यक़ीं हो मिरे हमदम मिरे दोस्त
गर मुझे इस का यक़ीं हो कि तिरे दिल की थकन
तिरी आँखों की उदासी तेरे सीने की जलन
मेरी दिल-जूई मिरे प्यार से मिट जाएगी
गर मिरा हर्फ़-ए-तसल्ली वो दवा हो जिस से
जी उठे फिर तिरा उजड़ा हुआ बे-नूर दिमाग़
तेरी पेशानी से ढल जाएँ ये तज़लील के दाग़
तेरी बीमार जवानी को शिफ़ा हो जाए
गर मुझे इस का यक़ीं हो मिरे हमदम मरे दोस्त
रोज़ ओ शब शाम ओ सहर मैं तुझे बहलाता रहूँ
मैं तुझे गीत सुनाता रहूँ हल्के शीरीं
आबशारों के बहारों के चमन-ज़ारों के गीत
आमद-ए-सुब्ह के, महताब के, सय्यारों के गीत
तुझ से मैं हुस्न-ओ-मोहब्बत की हिकायात कहूँ
कैसे मग़रूर हसीनाओं के बरफ़ाब से जिस्म
गर्म हाथों की हरारत में पिघल जाते हैं
कैसे इक चेहरे के ठहरे हुए मानूस नुक़ूश
देखते देखते यक-लख़्त बदल जाते हैं
किस तरह आरिज़-ए-महबूब का शफ़्फ़ाफ़ बिलोर
यक-ब-यक बादा-ए-अहमर से दहक जाता है
कैसे गुलचीं के लिए झुकती है ख़ुद शाख़-ए-गुलाब
किस तरह रात का ऐवान महक जाता है
यूँही गाता रहूँ गाता रहूँ तेरी ख़ातिर
गीत बुनता रहूँ बैठा रहूँ तेरी ख़ातिर
पर मिरे गीत तिरे दुख का मुदावा ही नहीं
नग़्मा जर्राह नहीं मूनिस-ओ-ग़म ख़्वार सही
गीत नश्तर तो नहीं मरहम-ए-आज़ार सही
तेरे आज़ार का चारा नहीं नश्तर के सिवा
और ये सफ़्फ़ाक मसीहा मिरे क़ब्ज़े में नहीं
इस जहाँ के किसी ज़ी-रूह के क़ब्ज़े में नहीं
हाँ मगर तेरे सिवा तेरे सिवा तेरे सिवा

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 44