Javed Akhtar Poetry

galiyaan aur galiyon mein galiyaan


galiyaan aur galiyon mein galiyaan

galiyaan
aur galiyon mein galiyaan
chhote ghar
neeche darwaaze
taat ke parde
mailee bad-rangee deewarein
deewaron se sar takraati
koi gaali
galiyon ke seene par bahti
gandi naali
galiyon ke maathe par bahta
aawazon ka ganda naala

aawazon ki bheed bahut hai
insaano ki bheed bahut hai
kadve aur kaseele chehre
bad-haali ke zahar se hain zahreeli chehre
beemaari se peele chehre
marte chehre
hare chehre
be-bas aur bechaare chehre
saare chehre

ek pahaadi kachre ki
aur us par firte
aawaara kutto se bacche
apna bachpan dhundh rahe hain

din dhalt hai
is basti mein rahne waale
auron ki jannat ko apni mehnat de kar
apne jahannam ki jaanib
ab thake hue
jhunjhalaaye hue se
laut rahe hain
ek gali mein
zang lage pipe rakhe hain
kacchi daaru mahak rahi hai

aaj savere se
basti mein
qatl-o-khoon ka
chaakoo-zani ka
koi qissa nahin hua hai
khair
abhi to shaam hai
poori raat padi hai

yun lagta hai
saari basti
jaise ik dukhta phoda hai
yun lagta hai
saari basti
jaise hai ik jalta kadhaav
yun lagta hai
jaise khuda nukkad par baitha
toote-phoote insaan
aune-paune daamon
bech raha hai
----------------------------------
गलियाँ
और गलियों में गलियाँ
छोटे घर
नीचे दरवाज़े
टाट के पर्दे
मैली बद-रंगी दीवारें
दीवारों से सर टकराती
कोई गाली
गलियों के सीने पर बहती
गंदी नाली
गलियों के माथे पर बहता
आवाज़ों का गंदा नाला

आवाज़ों की भीड़ बहुत है
इंसानों की भीड़ बहुत है
कड़वे और कसीले चेहरे
बद-हाली के ज़हर से हैं ज़हरीले चेहरे
बीमारी से पीले चेहरे
मरते चेहरे
हारे चेहरे
बे-बस और बेचारे चेहरे
सारे चेहरे

एक पहाड़ी कचरे की
और उस पर फिरते
आवारा कुत्तों से बच्चे
अपना बचपन ढूँड रहे हैं

दिन ढलता है
इस बस्ती में रहने वाले
औरों की जन्नत को अपनी मेहनत दे कर
अपने जहन्नम की जानिब
अब थके हुए
झुँझलाए हुए से
लौट रहे हैं
एक गली में
ज़ंग लगे पीपे रक्खे हैं
कच्ची दारू महक रही है

आज सवेरे से
बस्ती में
क़त्ल-ओ-ख़ूँ का
चाक़ू-ज़नी का
कोई क़िस्सा नहीं हुआ है
ख़ैर
अभी तो शाम है
पूरी रात पड़ी है

यूँ लगता है
सारी बस्ती
जैसे इक दुखता फोड़ा है
यूँ लगता है
सारी बस्ती
जैसे है इक जलता कढ़ाव
यूँ लगता है
जैसे ख़ुदा नुक्कड़ पर बैठा
टूटे-फूटे इंसाँ
औने-पौने दामों
बेच रहा है!


Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 31