Javed Akhtar Poetry

ek patthar ki adhuri moorat


ek patthar ki adhuri moorat

ek patthar ki adhuri moorat
chand taambe ke purane sikke
kaali chaandi ke ajab se zewar
aur kai kaanse ke toote bartan
ek sehra mile
zer-e-zameen
log kahte hain ki sadiyon pehle
aaj sehra hai jahaan
wahin ik shehar hua karta tha
aur mujh ko ye khayal aata hai
kisi taqreeb
kisi mehfil mein
saamna tujh se mera aaj bhi ho jaata hai
ek lamhe ko
bas ik pal ke liye
jism ki aanch
uchatti si nazar
surkh bindiya ki damak
sarsaraahat tiri malboos ki
baalon ki mahak
be-khayaali mein kabhi
lams ka nanha sa phool
aur phir door tak wahin sehra
wahin sehra ki jahaan
kabhi ik shehar hua karta tha 
-------------------------------------
एक पत्थर की अधूरी मूरत
चंद ताँबे के पुराने सिक्के
काली चाँदी के अजब से ज़ेवर
और कई कांसे के टूटे बर्तन
एक सहरा मिले
ज़ेर-ए-ज़मीं
लोग कहते हैं कि सदियों पहले
आज सहरा है जहाँ
वहीं इक शहर हुआ करता था
और मुझ को ये ख़याल आता है
किसी तक़रीब
किसी महफ़िल में
सामना तुझ से मिरा आज भी हो जाता है
एक लम्हे को
बस इक पल के लिए
जिस्म की आँच
उचटती सी नज़र
सुर्ख़ बिंदिया की दमक
सरसराहट तिरी मल्बूस की
बालों की महक
बे-ख़याली में कभी
लम्स का नन्हा सा फूल
और फिर दूर तक वही सहरा
वही सहरा कि जहाँ
कभी इक शहर हुआ करता था

Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 37