Faiz Ahmed Faiz Poetry

door ja kar qareeb ho jitne


door ja kar qareeb ho jitne

1- door ja kar qareeb ho jitne
ham se kab tum qareeb the itne
ab na aaoge tum na jaaoge
wasl-e-hijraan bahm hue kitne
2- chaand nikle kisi jaanib tiri zebaai ka
rang badle kisi soorat shab-e-tanhaai ka
daulat-e-lab se phir ai khusraw-e-sheerin-dehnaan
aaj arzaan ho koi harf shanaasaai ka
garmi-e-rashk se har anjuman-e-gul-badnaan
tazkira chhede tiri pairhan-aaraai ka
sehan-e-gulshan mein kabhi ai shah-e-shamshaad-qadaan
phir nazar aaye saleeqa tiri raanaai ka
ek baar aur maseeha-e-dil-e-dil-zadagaan
koi wa'da koi iqaar masihaai ka
saaz-o-saamaan bahm pahuncha hai ruswaai ka
3- kab tak dil ki khair manaae kab tak rah dikhlaaoge
kab tak chain ki mohlat doge kab tak yaad na aaoge
beeta deed ummeed ka mausam khaak udti hai aankhon mein
kab bhejoge dard ka baadal kab barkha barsaaoge
ahad-e-wafaa ya tark-e-mohabbat jo chaaho so aap karo
apne bas ki baat hi kya hai ham se kya manvaaoge
kis ne vasl ka suraj dekha kis par hijr ki raat dhali
gesuon waale kaun the kya the un ko kya jatlaaoge
faiz dilon ke bhag mein hai ghar bharna bhi loot jaana bhi
tum is husn ke lutf-o-karam par kitne din itraaoge
----------------------------------------------------
1- दूर जा कर क़रीब हो जितने
हम से कब तुम क़रीब थे इतने
अब न आओगे तुम न जाओगे
वस्ल-ए-हिज्राँ बहम हुए कितने
2- चाँद निकले किसी जानिब तिरी ज़ेबाई का
रंग बदले किसी सूरत शब-ए-तन्हाई का
दौलत-ए-लब से फिर ऐ ख़ुसरव-ए-शीरीं-दहनाँ
आज अर्ज़ां हो कोई हर्फ़ शनासाई का
गर्मी-ए-रश्क से हर अंजुमन-ए-गुल-बदनाँ
तज़्किरा छेड़े तिरी पैरहन-आराई का
सेहन-ए-गुलशन में कभी ऐ शह-ए-शमशाद-क़दाँ
फिर नज़र आए सलीक़ा तिरी रानाई का
एक बार और मसीहा-ए-दिल-ए-दिल-ज़दगाँ
कोई वा'दा कोई इक़रार मसीहाई का
साज़-ओ-सामान बहम पहुँचा है रुस्वाई का
3- कब तक दिल की ख़ैर मनाएँ कब तक रह दिखलाओगे
कब तक चैन की मोहलत दोगे कब तक याद न आओगे
बीता दीद उम्मीद का मौसम ख़ाक उड़ती है आँखों में
कब भेजोगे दर्द का बादल कब बरखा बरसाओगे
अहद-ए-वफ़ा या तर्क-ए-मोहब्बत जो चाहो सो आप करो
अपने बस की बात ही क्या है हम से क्या मनवाओगे
किस ने वस्ल का सूरज देखा किस पर हिज्र की रात ढली
गेसुओं वाले कौन थे क्या थे उन को क्या जतलाओगे
'फ़ैज़' दिलों के भाग में है घर भरना भी लुट जाना भी
तुम इस हुस्न के लुत्फ़-ओ-करम पर कितने दिन इतराओगे

Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 35