Waseem Barelavi Poetry

Deevane ki jannat


Deevane ki jannat

"Deevane ki jannat"
mera ye khwaab ki tum mere qareeb aayi ho
apne saaye se jhijhakti hui ghabraati hui
apne ehsaas ki tahreek pe sharmaati hui
apne qadmon ki bhi awaaz se katraati hui
apni saanson ke mehakte hue andaaz liye
apni khaamoshi mein gehnaaye hue raaz liye
apne honton pe ik anjaam ka aaghaaz liye
dil ki dhadkan ko bahut rokti samjhaati hui
apni paayal ki ghazal-khwaani pe jhallaati hui
narm shaanon pe jawaani ka naya baar liye
shokh aankhon mein hijaabaat se inkaar liye
tez nabzon mein mulaqaat ke aasaar liye
kaale baalon se bikhrti hui champa ki mahak
surkh aariz pe damakte hue shaalon ki chamak
neechi nazaron mein samaai hui khuddaar jhijak
nuqraai jism pe vo chaand ki kirnon ki fuwaar
chaandni raat mein bujhta hua palkon ka sitaar
fart-e-jazbaat se mahki hui saanson ki qataar
door maazi ki bad-anjaam rivaayat liye
neechi nazrein wahi ehsaas-e-mulaqaat liye
wahi maahol wahi taaron bhari raat liye
aaj tum aayi ho dohraati hui maazi ko
mera ye khwaab ki tum mere qareeb aayi ho
kaash ik khwaab rahe talkh haqeeqat na bane
ye mulaqaat bhi deewane ki jannat na bane 
-----------------------------------------------
"दीवाने की जन्नत"
मेरा ये ख़्वाब कि तुम मेरे क़रीब आई हो
अपने साए से झिझकती हुई घबराती हुई
अपने एहसास की तहरीक पे शरमाती हुई
अपने क़दमों की भी आवाज़ से कतराती हुई
अपनी साँसों के महकते हुए अंदाज़ लिए
अपनी ख़ामोशी में गहनाए हुए राज़ लिए
अपने होंटों पे इक अंजाम का आग़ाज़ लिए
दिल की धड़कन को बहुत रोकती समझाती हुई
अपनी पायल की ग़ज़ल-ख़्वानी पे झल्लाती हुई
नर्म शानों पे जवानी का नया बार लिए
शोख़ आँखों में हिजाबात से इंकार लिए
तेज़ नब्ज़ों में मुलाक़ात के आसार लिए
काले बालों से बिखरती हुई चम्पा की महक
सुर्ख़ आरिज़ पे दमकते हुए शालों की चमक
नीची नज़रों में समाई हुई ख़ुद्दार झिजक
नुक़रई जिस्म पे वो चाँद की किरनों की फुवार
चाँदनी रात में बुझता हुआ पलकों का सितार
फ़र्त-ए-जज़्बात से महकी हुई साँसों की क़तार
दूर माज़ी की बद-अंजाम रिवायात लिए
नीची नज़रें वही एहसास-ए-मुलाक़ात लिए
वही माहौल वही तारों भरी रात लिए
आज तुम आई हो दोहराती हुई माज़ी को
मेरा ये ख़्वाब कि तुम मेरे क़रीब आई हो
काश इक ख़्वाब रहे तल्ख़ हक़ीक़त न बने
ये मुलाक़ात भी दीवाने की जन्नत न बने

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 80