Ahmed Faraz Poetry

Ai dil un aankhon par na ja


Ai dil un aankhon par na ja

Ai dil un aankhon par na ja
Jin mein wafur-e-ranj se

Kuch der ko tere liye
Aansoo agar lehrā gaye

Yeh chand lamhon ki chamak
Jo tujh ko paagal kar gayi

In jugnuyon ke noor se
Chamki hai kab woh zindagi

Jis ke muqaddar mein rahi
Subh-e-talab se teeragi

Kis soch mein gum-sum hai tu
Ai be-khabar, naadaan na ban

Teri fasurda rooh ko
Chahat ke kaanton ki talab

Aur uske daaman mein faqat
Hamardiyon ke phool hain.
-------------------------
ऐ दिल उन आँखों पर न जा
जिन में वफ़ूर-ए-रंज से

कुछ देर को तेरे लिए
आँसू अगर लहरा गए

ये चंद लम्हों की चमक
जो तुझ को पागल कर गई

इन जुगनुओं के नूर से
चमकी है कब वो ज़िंदगी

जिस के मुक़द्दर में रही
सुब्ह-ए-तलब से तीरगी

किस सोच में गुम-सुम है तू
ऐ बे-ख़बर नादाँ न बन

तेरी फ़सुर्दा रूह को
चाहत के काँटों की तलब

और उस के दामन में फ़क़त
हमदर्दियों के फूल हैं


Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 403