Mohsin Naqvi Poetry

All time most famous ghazals of MOHSIN NAQVI


All time most famous ghazals of MOHSIN NAQVI

1- Itni muddat baad mile ho
Kin sochon mein gum phirte ho

Itne khaif kyun rehte ho
Har aahat se dar jaate ho

Tez hawa ne mujh se poocha
Ret pe kya likhte rehte ho

Kaash koi hum se bhi pooche
Raat gae tak kyun jaage ho

Main dariya se bhi darta hoon
Tum dariya se bhi gehre ho

Kaun si baat hai tum mein aisi
Itne acche kyun lagte ho

Peeche mud kar kyun dekha tha
Patthar ban kar kya takte ho

Jao jeet ka jashn manao
Main jhootha hoon tum sacche ho

Apne shahar ke sab logon se
Meri khaatir kyun uljhe ho

Kehne ko rehte ho dil mein
Phir bhi kitne door khade ho

Raat humein kuch yaad nahi tha
Raat bahut hi yaad aaye ho

Hum se na poochho hijr ke qisse
Apni kaho ab tum kaise ho

'Mohsin' tum badnaam bahut ho
Jaise ho phir bhi acche ho


2- Ujde hue logon se gurezan na hua kar
Halaat ki qabron ke ye katbe bhi padha kar

Kya jaane kyun tez hawa soch mein gum hai
Khwabeeda parindon ko darakhton se uda kar

Us shaks ke tum se bhi marasim hain to honge
Woh jhoot na bolega mere samne aa kar

Har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
Tanhai ke lamhon mein kabhi ro bhi liya kar

Woh aaj bhi sadiyon ki masafat pe khada hai
Dhoonda tha jise waqt ki deewar gira kar

Ae dil tujhe dushman ki bhi pehchaan kahan hai
Tu halqa-e-yaraan mein bhi mohtat raha kar

Is shab ke muqaddar mein sehar hi nahi 'Mohsin'
Dekha hai kai baar charagon ko bujha kar


3- Zikr-e-shab-e-firaq se wahshat use bhi thi
Meri tarah kisi se mohabbat use bhi thi

Mujhko bhi shauq tha naye chehron ki deed ka
Rasta badal ke chalne ki aadat use bhi thi

Us raat der tak woh raha mahv-e-guftugu
Masroof main bhi kam tha faragat use bhi thi

Mujhse bichhad ke shahar mein ghul-mil gaya woh shaks
Haalaanki shahar-bhar se adawat use bhi thi

Woh mujhse badh ke zabt ka aadi tha jee gaya
Warna har ek saans qayaamat use bhi thi

Sunta tha woh bhi sab se purani kahaniyan
Shaayad rafaqaton ki zarurat use bhi thi

Tanha hua safar mein toh mujh pe khula ye bhed
Saaye se pyaar dhoop se nafrat use bhi thi

'Mohsin' main usse keh na saka yun bhi haal-e-dil
Darpesh ek taaza museebat use bhi thi


4- Ye dil ye paagal dil mera kyun bujh gaya awargi
Is dasht mein ek shahar tha woh kya hua awargi

Kal shab mujhe be-shakl ki awaaz ne chauka diya
Main ne kaha tu kaun hai, usne kaha awargi

Logon bhala is shahar mein kaise jiyenge hum jahan
Ho jurm tanha sochna, lekin saza awargi

Ye dard ki tanhaiyan ye dasht ka veeraan safar
Hum log toh ukta gaye apni suna awargi

Ek ajnabi jhonke ne jab poocha mere gham ka sabab
Sehra ki bheegi ret par maine likha awargi

Us samt vahshi khwahishon ki zad mein paiman-e-wafa
Us samt lehron ki dhamak, kaccha ghada awargi

Kal raat tanha chaand ko dekha tha maine khwab mein
'Mohsin' mujhe raas aayegi shaayad sada awargi


5- Main dil pe zabt karunga tujhe bhula doonga
Marunga khud bhi tujhe bhi kadi saza doonga

Ye teeragi mere ghar ka hi kyun muqaddar ho
Main tere shahar ke saare diye bujha doonga

Hawa ka haath bataunga har tabahi mein
Hare shajar se parinde main khud uda doonga

Wafa karunga kisi sogwar chehre se
Purani qabr pe katba naya saja doonga

Isi khayal mein guzri hai shaam-e-dard aksar
Ki dard had se badhega toh muskura doonga

Tu aasmaan ki surat hai gar padega kabhi
Zameen hoon main bhi magar tujhe aasra doonga

Badha rahi hain mere dukh nishaniyan teri
Main tere khat teri tasveer tak jala doonga

Bahut dinon se mera dil udaas hai 'Mohsin'
Is aaine ko koi aks ab naya doonga
----------------------------
1- इतनी मुद्दत बा'द मिले हो
किन सोचों में गुम फिरते हो

इतने ख़ाइफ़ क्यूँ रहते हो
हर आहट से डर जाते हो

तेज़ हवा ने मुझ से पूछा
रेत पे क्या लिखते रहते हो

काश कोई हम से भी पूछे
रात गए तक क्यूँ जागे हो

में दरिया से भी डरता हूँ
तुम दरिया से भी गहरे हो

कौन सी बात है तुम में ऐसी
इतने अच्छे क्यूँ लगते हो

पीछे मुड़ कर क्यूँ देखा था
पत्थर बन कर क्या तकते हो

जाओ जीत का जश्न मनाओ
में झूटा हूँ तुम सच्चे हो

अपने शहर के सब लोगों से
मेरी ख़ातिर क्यूँ उलझे हो

कहने को रहते हो दिल में
फिर भी कितने दूर खड़े हो

रात हमें कुछ याद नहीं था
रात बहुत ही याद आए हो

हम से न पूछो हिज्र के क़िस्से
अपनी कहो अब तुम कैसे हो

'मोहसिन' तुम बदनाम बहुत हो
जैसे हो फिर भी अच्छे हो


2- उजड़े हुए लोगों से गुरेज़ाँ न हुआ कर
हालात की क़ब्रों के ये कतबे भी पढ़ा कर

क्या जानिए क्यूँ तेज़ हवा सोच में गुम है
ख़्वाबीदा परिंदों को दरख़्तों से उड़ा कर

उस शख़्स के तुम से भी मरासिम हैं तो होंगे
वो झूट न बोलेगा मिरे सामने आ कर

हर वक़्त का हँसना तुझे बर्बाद न कर दे
तन्हाई के लम्हों में कभी रो भी लिया कर

वो आज भी सदियों की मसाफ़त पे खड़ा है
ढूँडा था जिसे वक़्त की दीवार गिरा कर

ऐ दिल तुझे दुश्मन की भी पहचान कहाँ है
तू हल्क़ा-ए-याराँ में भी मोहतात रहा कर

इस शब के मुक़द्दर में सहर ही नहीं 'मोहसिन'
देखा है कई बार चराग़ों को बुझा कर


3- ज़िक्र-ए-शब-ए-फ़िराक़ से वहशत उसे भी थी
मेरी तरह किसी से मोहब्बत उसे भी थी

मुझ को भी शौक़ था नए चेहरों की दीद का
रस्ता बदल के चलने की आदत उसे भी थी

उस रात देर तक वो रहा महव-ए-गुफ़्तुगू
मसरूफ़ मैं भी कम था फ़राग़त उसे भी थी

मुझ से बिछड़ के शहर में घुल-मिल गया वो शख़्स
हालाँकि शहर-भर से अदावत उसे भी थी

वो मुझ से बढ़ के ज़ब्त का आदी था जी गया
वर्ना हर एक साँस क़यामत उसे भी थी

सुनता था वो भी सब से पुरानी कहानियाँ
शायद रफ़ाक़तों की ज़रूरत उसे भी थी

तन्हा हुआ सफ़र में तो मुझ पे खुला ये भेद
साए से प्यार धूप से नफ़रत उसे भी थी

'मोहसिन' मैं उस से कह न सका यूँ भी हाल दिल
दरपेश एक ताज़ा मुसीबत उसे भी थी


4- ये दिल ये पागल दिल मिरा क्यूँ बुझ गया आवारगी
इस दश्त में इक शहर था वो क्या हुआ आवारगी

कल शब मुझे बे-शक्ल की आवाज़ ने चौंका दिया
मैं ने कहा तू कौन है उस ने कहा आवारगी

लोगो भला इस शहर में कैसे जिएँगे हम जहाँ
हो जुर्म तन्हा सोचना लेकिन सज़ा आवारगी

ये दर्द की तन्हाइयाँ ये दश्त का वीराँ सफ़र
हम लोग तो उक्ता गए अपनी सुना आवारगी

इक अजनबी झोंके ने जब पूछा मिरे ग़म का सबब
सहरा की भीगी रेत पर मैं ने लिखा आवारगी

उस सम्त वहशी ख़्वाहिशों की ज़द में पैमान-ए-वफ़ा
उस सम्त लहरों की धमक कच्चा घड़ा आवारगी

कल रात तन्हा चाँद को देखा था मैं ने ख़्वाब में
'मोहसिन' मुझे रास आएगी शायद सदा आवारगी


5- मैं दिल पे जब्र करूँगा तुझे भुला दूँगा
मरूँगा ख़ुद भी तुझे भी कड़ी सज़ा दूँगा

ये तीरगी मिरे घर का ही क्यूँ मुक़द्दर हो
मैं तेरे शहर के सारे दिए बुझा दूँगा

हवा का हाथ बटाऊँगा हर तबाही में
हरे शजर से परिंदे मैं ख़ुद उड़ा दूँगा

वफ़ा करूँगा किसी सोगवार चेहरे से
पुरानी क़ब्र पे कतबा नया सजा दूँगा

इसी ख़याल में गुज़री है शाम-ए-दर्द अक्सर
कि दर्द हद से बढ़ेगा तो मुस्कुरा दूँगा

तू आसमान की सूरत है गर पड़ेगा कभी
ज़मीं हूँ मैं भी मगर तुझ को आसरा दूँगा

बढ़ा रही हैं मिरे दुख निशानियाँ तेरी
मैं तेरे ख़त तिरी तस्वीर तक जला दूँगा

बहुत दिनों से मिरा दिल उदास है 'मोहसिन'
इस आइने को कोई अक्स अब नया दूँगा


Poet - Mohsin Naqvi
Location: Dera Ghazi Khan, Punjab, Pakistan
Views: 206