Tehzeeb Hafi Poetry

zakhamo ne mujh mein darwaaze khole hain


zakhamo ne mujh mein darwaaze khole hain

zakhamo ne mujh mein darwaaze khole hain
maine waqt se pehle taanke khole hain

baahar aane ki bhi sakat nahin ham mein
tune kis mausam mein pinjare khole hain

kaun hamaari pyaas pe daaka daal gaya
kis ne maskejo ke tasme khole hain

yoon to mujhko kitne khat mosul hue
ek do aise the jo dil se khole hain

ye mera pehla ramjaan tha uske bagair
mat poocho kis munh se rozay khole hain

varna dhoop ka parvat kis se katata tha
usne chhatri khol ke raaste khole hain 
-----------------------------------------
जख्मों ने मुझ में दरवाजे खोले हैं
मैंने वक्त से पहले टांके खोलें हैं

बाहर आने की भी सकत नहीं हम में
तूने किस मौसम में पिंजरे खोले हैं

कौन हमारी प्यास पे डाका डाल गया
किस ने मस्कीजो के तसमे खोले हैं

यूं तो मुझको कितने खत मोसुल हुए
एक दो ऐसे थे जो दिल से खोलें हैं

ये मेरा पहला रमजान था उसके बगैर
मत पूछो किस मुंह से रोज़े खोलें हैं

वरना धूप का पर्वत किस से कटता था
उसने छतरी खोल के रास्ते खोले हैं

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 697