Ali Zaryoun Poetry

khayal mein bhi use be-rida nahin kiya hai


khayal mein bhi use be-rida nahin kiya hai

khayal mein bhi use be-rida nahin kiya hai
ye zulm mujhse nahin ho saka nahin kiya hai

main ek shakhs ko eimaan jaanta hoon to kya
khuda ke naam par logon ne kya nahin kiya hai

isiliye to main roya nahin bichhadte samay
tujhe ravana kiya hai juda nahin kiya hai

ye bad-tameez agar tujhse dar rahe hain to phir
tujhe bigaad kar maine bura nahin kiya hai 
-----------------------------------------
ख़याल में भी उसे बे-रिदा नहीं किया है
ये ज़ुल्म मुझसे नहीं हो सका नहीं किया है

मैं एक शख़्स को ईमान जानता हूँ तो क्या
ख़ुदा के नाम पर लोगों ने क्या नहीं किया है

इसीलिए तो मैं रोया नहीं बिछड़ते समय
तुझे रवाना किया है जुदा नहीं किया है

ये बद-तमीज़ अगर तुझसे डर रहे हैं तो फिर
तुझे बिगाड़ कर मैंने बुरा नहीं किया है

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 335