Jigar Moradabadi Poetry

Aadmi aadmi se milta hai


Aadmi aadmi se milta hai

aadmi aadmi se milta hai
dil magar kam kisi se milta hai

bhuul jaata huun main sitam us ke
vo kuchh is sadgi se milta hai

aaj kya baat hai ki phulon ka
rang teri hansi se milta hai

silsila fitna-e-qayamat ka
teri ḳhush-qamati se milta hai

mil ke bhi jo kabhi nahin milta
TuuT kar dil usi se milta hai

karobar-e-jahan sanvarte hain
hosh jab be-ḳhudi se milta hai

ruuh ko bhi maza mohabbat ka
dil ki ham-saegi se milta hai
------------------------------
आदमी आदमी से मिलता है
दिल मगर कम किसी से मिलता है

भूल जाता हूँ मैं सितम उस के
वो कुछ इस सादगी से मिलता है

आज क्या बात है कि फूलों का
रंग तेरी हँसी से मिलता है

सिलसिला फ़ितना-ए-क़यामत का
तेरी ख़ुश-क़ामती से मिलता है

मिल के भी जो कभी नहीं मिलता
टूट कर दिल उसी से मिलता है

कारोबार-ए-जहान संवरते हैं
होश जब बे-खुदी से मिलता है

रूह को भी मज़ा मोहब्बत का
दिल की हम-साईगी से मिलता है


Poet - Jigar Moradabadi
Location: Moradabad, India
Views: 181