Javed Akhtar Poetry

ghar mein baithe hue kya likhte ho


ghar mein baithe hue kya likhte ho

ghar mein baithe hue kya likhte ho
baahar niklo
dekho kya haal hai duniya ka
ye kya aalam hai
sooni aankhen hain
sabhi khushiyon se khaali jaise
aao in aankhon mein khushiyon ki chamak ham likh den
ye jo maathe hain
udaasi ki lakeeron ke tale
aao in maathon pe qismat ki damak ham likh den
chehron se gahri ye maayusi mita ke
aao
in pe ummeed ki ik ujli kiran ham likh den
door tak jo hamein veeraane nazar aate hain
aao veeraanon par ab ek chaman ham likh den
lafz-dar-lafz samundar sa bahe
mauj-b-mauj
bahr-e-naghmaat mein
har koh-e-sitam hal ho jaaye
duniya duniya na rahe ek ghazal ho jaaye 
--------------------------------------
घर में बैठे हुए क्या लिखते हो
बाहर निकलो
देखो क्या हाल है दुनिया का
ये क्या आलम है
सूनी आँखें हैं
सभी ख़ुशियों से ख़ाली जैसे
आओ इन आँखों में ख़ुशियों की चमक हम लिख दें
ये जो माथे हैं
उदासी की लकीरों के तले
आओ इन माथों पे क़िस्मत की दमक हम लिख दें
चेहरों से गहरी ये मायूसी मिटा के
आओ
इन पे उम्मीद की इक उजली किरन हम लिख दें
दूर तक जो हमें वीराने नज़र आते हैं
आओ वीरानों पर अब एक चमन हम लिख दें
लफ़्ज़-दर-लफ़्ज़ समुंदर सा बहे
मौज-ब-मौज
बहर-ए-नग़्मात में
हर कोह-ए-सितम हल हो जाए
दुनिया दुनिया न रहे एक ग़ज़ल हो जाए


Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 34