Javed Akhtar Poetry

dil vo sehra tha


dil vo sehra tha

dil vo sehra tha
ki jis sehra mein
hasratein
ret ke teelon ki tarah rahti theen
jab hawadis ki hawa
un ko mitaane ke liye
chalti thi
yahan mitati theen
kahi aur ubhar aati theen
shakl khote hi
nayi shakl mein dhal jaati theen
dil ke sehra pe magar ab ki baar
saanehaa guzra kuchh aisa
ki sunaaye na bane
aandhi vo aayi ki saare teele
aise bikhre
ki kahi aur ubhar hi na sake
yun mite hain
ki kahi aur banaaye na bane
ab kahi
teele nahin
ret nahin
ret ka zarra nahin
dil mein ab kuchh nahin
dil ko sehra bhi agar kahiye
to kaise kahiye 
------------------------------------
दिल वो सहरा था
कि जिस सहरा में
हसरतें
रेत के टीलों की तरह रहती थीं
जब हवादिस की हवा
उन को मिटाने के लिए
चलती थी
यहाँ मिटती थीं
कहीं और उभर आती थीं
शक्ल खोते ही
नई शक्ल में ढल जाती थीं
दिल के सहरा पे मगर अब की बार
सानेहा गुज़रा कुछ ऐसा
कि सुनाए न बने
आँधी वो आई कि सारे टीले
ऐसे बिखरे
कि कहीं और उभर ही न सके
यूँ मिटे हैं
कि कहीं और बनाए न बने
अब कहीं
टीले नहीं
रेत नहीं
रेत का ज़र्रा नहीं
दिल में अब कुछ नहीं
दिल को सहरा भी अगर कहिए
तो कैसे कहिए

Poet - Javed Akhtar
Location: Gwalior, Madhya Pradesh, India
Views: 32