Jaun Elia Poetry

raatein sacchi hain din jhoote hain


raatein sacchi hain din jhoote hain

raatein sacchi hain din jhoote hain
chahe tum meri beenaai khurch daalo phir bhi apne khwaab nahin chhodunga
un ki lazzat aur aziyyat se main apna koi ahad nahin todunga

tez nazar na-beenaon ki aabaadi mein
kya main apne dhyaan ki ye pounji bhi ginwa doon

haan mere khwaabon ko tumhaari subhon ki sard aur saaya-goon taabiron se nafrat hai
in subhon ne shaam ke haathon ab tak jitne suraj beche

vo sab ik barfaani bhaap ki chamkeeli aur chakkar khaati golaai the
so mere khwaabon ki raatein jaltee aur dahakti raatein

aisi yakh-basta taabiron ke har din se achhi hain aur sacchi bhi hain
jis mein dhundla chakkar khaata chamkeela-pan chhe itaraaf ka rog bana hai

mere andhere bhi sacche hain
aur tumhaare rog ujaale bhi jhoote hain

raatein sacchi hain din jhoote
jab tak din jhoote hain jab tak

raatein sahna aur apne khwaabon mein rahna
khwaabon ko bahkaane waale din ke ujaalon se achha hai

haan main behkaavon ki dhund nahin odhoonga
chahe tum meri beenaai khurch daalo main phir bhi apne khwaab nahin chhodunga

apna ahad nahin todunga
yahi to bas mera sab kuchh hai

maah o saal ke ghaarat-gar se meri thani hai
meri jaan par aan bani hai

chahe kuchh ho mere aakhiri saans talak ab chahe kuchh ho
-----------------------------------------------------
"रातें सच्ची हैं दिन झूटे हैं"
चाहे तुम मेरी बीनाई खुरच डालो फिर भी अपने ख़्वाब नहीं छोड़ूँगा
उन की लज़्ज़त और अज़िय्यत से मैं अपना कोई अहद नहीं तोडूँगा

तेज़ नज़र ना-बीनाओं की आबादी में
क्या मैं अपने ध्यान की ये पूँजी भी गिनवा दूँ

हाँ मेरे ख़्वाबों को तुम्हारी सुब्हों की सर्द और साया-गूँ ताबीरों से नफ़रत है
इन सुब्हों ने शाम के हाथों अब तक जितने सूरज बेचे

वो सब इक बर्फ़ानी भाप की चमकीली और चक्कर खाती गोलाई थे
सो मेरे ख़्वाबों की रातें जलती और दहकती रातें

ऐसी यख़-बस्ता ताबीरों के हर दिन से अच्छी हैं और सच्ची भी हैं
जिस में धुँदला चक्कर खाता चमकीला-पन छे अतराफ़ का रोग बना है

मेरे अंधेरे भी सच्चे हैं
और तुम्हारे ''रोग उजाले'' भी झूटे हैं

रातें सच्ची हैं दिन झूटे
जब तक दिन झूटे हैं जब तक

रातें सहना और अपने ख़्वाबों में रहना
ख़्वाबों को बहकाने वाले दिन के उजालों से अच्छा है

हाँ मैं बहकावों की धुँद नहीं ओढूँगा
चाहे तुम मेरी बीनाई खुरच डालो मैं फिर भी अपने ख़्वाब नहीं छोड़ूँगा

अपना अहद नहीं तोडूँगा
यही तो बस मेरा सब कुछ है

माह ओ साल के ग़ारत-गर से मेरी ठनी है
मेरी जान पर आन बनी है

चाहे कुछ हो मेरे आख़िरी साँस तलक अब चाहे कुछ हो

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 277