Jaun Elia Poetry

mujhe tum apni baanhon mein jakad lo aur main tum ko


mujhe tum apni baanhon mein jakad lo aur main tum ko

khilwat
mujhe tum apni baanhon mein jakad lo aur main tum ko
kisi bhi dil-kusha jazbe se yaksar na-shanaasana
nashaat-e-rang ki sarshaari-e-haalat se begaana
mujhe tum apni baanhon mein jakad lo aur main tum ko

fusoon-kaara nigaara nau-bahaara aarzoo-aara
bhala lamhon ka meri aur tumhaari khwaab-parwar
aarzoo-mandi ki sarshaari se kya rishta
hamaari baahmi yaadon ki dildaari se kya rishta
mujhe tum apni baanhon mein jakad lo aur main tum ko
yahan ab teesra koi nahin ya'ni mohabbat bhi 
---------------------------------------------------
"ख़ल्वत"
मुझे तुम अपनी बाँहों में जकड़ लो और मैं तुम को
किसी भी दिल-कुशा जज़्बे से यकसर ना-शनासाना
नशात-ए-रंग की सरशारी-ए-हालत से बेगाना
मुझे तुम अपनी बाँहों में जकड़ लो और मैं तुम को

फ़ुसूँ-कारा निगारा नौ-बहारा आरज़ू-आरा
भला लम्हों का मेरी और तुम्हारी ख़्वाब-परवर
आरज़ू-मंदी की सरशारी से क्या रिश्ता
हमारी बाहमी यादों की दिलदारी से क्या रिश्ता
मुझे तुम अपनी बाँहों में जकड़ लो और मैं तुम को
यहाँ अब तीसरा कोई नहीं या'नी मोहब्बत भी

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 214