Jaun Elia Poetry

magar ye zakham ye marham


magar ye zakham ye marham

magar ye zakham ye marham
tumhaare naam tumhaare nishaan se be-sarokaar
tumhaari yaad ke mausam guzarte jaate hain
bas ek manzar-e-be-hijr-o-visaal hai jis mein
ham apne aap hi kuchh rang bharte jaate hain

na vo nashaat-e-tasavvur ki lo tum aa hi gaye
na zakhm-e-dil ki hai sozish koi jo sahni ho
na koi wa'da-o-paimaan ki shaam hai na sehar
na shauq ki hai koi dastaan jo kahni ho
nahin jo mahmil-e-laila-e-aarzoo sar-e-raah
to ab fazaa mein fazaa ke siva kuchh aur nahin
nahin jo mauj-e-saba mein koi shameem-e-payaam
to ab saba mein saba ke siva kuchh aur nahin

utaar de jo kinaare pe ham ko kashti-e-wahm
to gird-o-pesh ko girdaab hi samjhte hain
tumhaare rang mehakte hain khwaab mein jab bhi
to khwaab mein bhi unhen khwaab hi samjhte hain

na koi zakham na marham ki zindagi apni
guzar rahi hai har ehsaas ko ganwaane mein
magar ye zakham ye marham bhi kam nahin shaayad
ki ham hain ek zameen par aur ik zamaane mein 
--------------------------------------------------
"मगर ये ज़ख़्म ये मरहम"
तुम्हारे नाम तुम्हारे निशाँ से बे-सरोकार
तुम्हारी याद के मौसम गुज़रते जाते हैं
बस एक मन्ज़र-ए-बे-हिज्र-ओ-विसाल है जिस में
हम अपने आप ही कुछ रंग भरते जाते हैं

न वो नशात-ए-तसव्वुर कि लो तुम आ ही गए
न ज़ख़्म-ए-दिल की है सोज़िश कोई जो सहनी हो
न कोई वा'दा-ओ-पैमाँ की शाम है न सहर
न शौक़ की है कोई दास्ताँ जो कहनी हो
नहीं जो महमिल-ए-लैला-ए-आरज़ू सर-ए-राह
तो अब फ़ज़ा में फ़ज़ा के सिवा कुछ और नहीं
नहीं जो मौज-ए-सबा में कोई शमीम-ए-पयाम
तो अब सबा में सबा के सिवा कुछ और नहीं

उतार दे जो किनारे पे हम को कश्ती-ए-वहम
तो गिर्द-ओ-पेश को गिर्दाब ही समझते हैं
तुम्हारे रंग महकते हैं ख़्वाब में जब भी
तो ख़्वाब में भी उन्हें ख़्वाब ही समझते हैं

न कोई ज़ख़्म न मरहम कि ज़िंदगी अपनी
गुज़र रही है हर एहसास को गँवाने में
मगर ये ज़ख़्म ये मरहम भी कम नहीं शायद
कि हम हैं एक ज़मीं पर और इक ज़माने में

Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 208