Ibn-e-Insha Poetry

Sham-e-gham ki sahar nahin hoti


Sham-e-gham ki sahar nahin hoti

sham-e-gham ki sahar nahin hoti
ya hamin ko ḳhabar nahin hoti

ham ne sab dukh jahan ke dekhe hain
bekali is qadar nahin hoti

naala yuun na-rasa nahin rahta
aah yuun be-asar nahin hoti

chand hai kahkashan hai taare hain
koi shai nama-bar nahin hoti

ek jan-soz o na-murad ḳhalish
is taraf hai udhar nahin hoti

dosto ishq hai ḳhata lekin
kya ḳhata darguzar nahin hoti

raat aa kar guzar bhi jaati hai
ik hamari sahar nahin hoti

be-qarari sahi nahin jaati
zindagi muḳhtasar nahin hoti

ek din dekhne ko aa jaate
ye havas umr bhar nahin hoti

husn sab ko ḳhuda nahin deta
har kisi ki  nazar nahin hoti

dil piyala nahin gadai ka
ashiqi dar-ba-dar nahin hoti
-------------------------------
शाम-ए-ग़म की सहर नहीं होती
या हमीं को ख़बर नहीं होती

हम ने सब दुख जहान के देखे हैं
बेकली इस क़दर नहीं होती

नाला यूँ ना-रसा नहीं रहता
आह यूँ बे-असर नहीं होती

चाँद है, आकाश है, तारे हैं
कोई शै नामबर नहीं होती

एक जान-सोज़ और ना-मुराद ख़लिश
इस तरफ है, उधर नहीं होती

दोस्तो, इश्क़ है ख़ता लेकिन
क्या ख़ता दरगुज़र नहीं होती

रात आकर गुज़र भी जाती है
एक हमारी सहर नहीं होती

बे-करारी सही नहीं जाती
ज़िन्दगी मुट्ठी भर नहीं होती

एक दिन देखने को आ जाते
ये हवस उम्र भर नहीं होती

हुस्न सब को ख़ुदा नहीं देता
हर किसी की नज़र नहीं होती

दिल प्याला नहीं, ग़दाई का
आशिकी दर-ब-दर नहीं होती

Poet - Ibn-e-Insha
Location: Phillaur tehsil of Jalandhar District, Punjab, India
Views: 36