Tehzeeb Hafi Poetry

ye maine kab kaha ki mere haq mein faisla kare


ye maine kab kaha ki mere haq mein faisla kare

ye maine kab kaha ki mere haq mein faisla kare
agar vo mujh se khush nahin hai to mujhe juda kare

main uske saath jis tarah guzaarta hoon zindagi
use to chahiye ki mera shukriya ada kare

meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai
khuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare

bana chuka hoon main mohabbaton ke dard ki dava
agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
-----------------------------------------
ये मैंने कब कहा कि मेरे हक़ में फ़ैसला करे
अगर वो मुझ से ख़ुश नहीं है तो मुझे जुदा करे

मैं उसके साथ जिस तरह गुज़ारता हूँ ज़िंदगी
उसे तो चाहिए कि मेरा शुक्रिया अदा करे

मेरी दुआ है और इक तरह से बद्दुआ भी है
ख़ुदा तुम्हें तुम्हारे जैसी बेटियाँ अता करे

बना चुका हूँ मैं मोहब्बतों के दर्द की दवा
अगर किसी को चाहिए तो मुझसे राब्ता करे

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 44