Tehzeeb Hafi Poetry

Top 20 most famous Shayari of Tehzeeb Hafi


Top 20 most famous Shayari of Tehzeeb Hafi

1- ye filmo'n mein hi sabko pyaar mil jaata hai aakhir mein
magar sachmuch mein is duniya mein aisa kuchh nahin hota
chalo maana ki mera dil mere mehboob ka ghar hai
par uske peechhe uske ghar mein kya-kya kuchh nahin hota

2- gale to lagana hai us se kaho abhi lag jaaye
yahi na ho mera us ke baghair jee lag jaaye
main aa raha hoon tere paas ye na ho ki kahi
tera mazaak ho aur meri zindagi lag jaaye

3- bharam rakha hai tere hijr ka varna kya hota hai
main rone pe aa jaaun to jharna kya hota hai
mera chhodo main nain thakta mera kaam yahi hai
lekin tumne itne pyaar ka karna kya hota hai

4- ab us jaanib se is kasrat se tohfe aa rahe hain
ki ghar mein ham nayi almaariyaan banwa rahe hain

5- tapte seharaaon mein sab ke sar pe aanchal ho gaya
usne zulfen khol deen aur mas'ala hal ho gaya

6- mujhe azaad kar do ek din sab sach bata kar
tumhaare aur uske darmiyaan kya chal raha hai

7- kya galat-fahmi mein rah jaane ka sadma kuchh nahin
vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin
ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar
ye bhi sach hai ishq mein bande ka bachta kuchh nahin

8- mere naam se kya matlab hai tumhein mit jaayega ya rah jaata hai
jab tum ne hi saath nahin rahna phir peeche kya rah jaata hai
mere paas aane tak aur kisi ki yaad use kha jaati hai
vo mujh tak kam hi pahunchta hai kisi aur jagah rah jaata hai

9- us ladki se bas ab itna rishta hai
mil jaaye to baat wagaira karti hai
baarish mere rab ki aisi nemat hai
rone mein aasaani paida karti hai

10- main us se ye to nahin kah raha juda na kare
magar vo kar nahin saka to phir kaha na kare
vo jaise chhod gaya tha mujhe use bhi kabhi
khuda kare ki koi chhod de khuda na kare

11- ab in jale hue jismoon pe khud hi saaya karo
tumhein kaha tha bata kar qareeb aaya karo
main uske baad mahinon udaas rehta hoon
mazaak mein bhi mujhe haath mat lagaaya karo

12- zehan se yaadon ke lashkar ja chuke
vo meri mehfil se uth kar ja chuke
mera dil bhi jaise pakistan hai
sab hukoomat karke baahar ja chuke

13-  batlaata magar sharm bahut aati hai
teri tasveer se jo kaam liya jaata hai

14- maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo waqt aane pe kar jaaunga
tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga

15- ye dukkh alag hai ki usse main door ho raha hoon
ye gham juda hai vo khud mujhe door kar raha hai
tere bichhurne par likh raha hoon main taza ghazlen
ye tera gham hai jo mujhko mashhoor kar raha hai

16- mere aansu nahi tham rahe ki vo mujhse juda ho gaya
aur tum kah rahe ho ki chhodo ab aisa bhi kya ho gaya
may-kadon mein meri lainein padhte firte hain log
maine jo kuchh bhi pee kar kaha falsafa ho gaya

17- ab zaroori to nahi hai ki vo sab kuchh kah de
dil me jo kuchh bhi ho aankhon se nazar aata hai
main usse sirf ye kehta hoon ki ghar jaana hai
aur vo maarnay marne pe utar aata hai

18- isiliye to sabse zyaada bhaati ho
kitne sacche dil se jhoothi qasmen khaati ho

19- jaise tumne waqt ko haath mein roka ho
sach to ye hai tum aankhon ka dhokha ho

20- kaun tumhaare paas se uth kar ghar jaata hai
tum jisko choo leti ho vo mar jaata hai
---------------------------------------------
1- ये फ़िल्मों में ही सबको प्यार मिल जाता है आख़िर में
मगर सचमुच में इस दुनिया में ऐसा कुछ नहीं होता
चलो माना कि मेरा दिल मेरे महबूब का घर है
पर उसके पीछे उसके घर में क्या-क्या कुछ नहीं होता

2- गले तो लगना है उस से कहो अभी लग जाए
यही न हो मेरा उस के बग़ैर जी लग जाए
मैं आ रहा हूँ तेरे पास ये न हो कि कहीं
तेरा मज़ाक़ हो और मेरी ज़िंदगी लग जाए

3- भरम रखा है तेरे हिज्र का वरना क्या होता है
मैं रोने पे आ जाऊँ तो झरना क्या होता है
मेरा छोड़ो मैं नइँ थकता मेरा काम यही है
लेकिन तुमने इतने प्यार का करना क्या होता है

4- अब उस जानिब से इस कसरत से तोहफ़े आ रहे हैं
कि घर में हम नई अलमारियाँ बनवा रहे हैं

5- तपते सहराओं में सब के सर पे आँचल हो गया
उसने ज़ुल्फ़ें खोल दीं और मसअला हल हो गया

6- मुझे आज़ाद कर दो एक दिन सब सच बता कर
तुम्हारे और उसके दरमियाँ क्या चल रहा है

7- क्या ग़लत-फ़हमी में रह जाने का सदमा कुछ नहीं
वो मुझे समझा तो सकता था कि ऐसा कुछ नहीं
इश्क़ से बच कर भी बंदा कुछ नहीं होता मगर
ये भी सच है इश्क़ में बंदे का बचता कुछ नहीं

8- मेरे नाम से क्या मतलब है तुम्हें मिट जाएगा या रह जाता है
जब तुम ने ही साथ नहीं रहना फिर पीछे क्या रह जाता है
मेरे पास आने तक और किसी की याद उसे खा जाती है
वो मुझ तक कम ही पहुँचता है किसी और जगह रह जाता है

9- उस लड़की से बस अब इतना रिश्ता है
मिल जाए तो बात वगैरा करती है
बारिश मेरे रब की ऐसी नेमत है
रोने में आसानी पैदा करती है

10- मैं उस से ये तो नहीं कह रहा जुदा न करे
मगर वो कर नहीं सकता तो फिर कहा न करे
वो जैसे छोड़ गया था मुझे उसे भी कभी
ख़ुदा करे कि कोई छोड़ दे ख़ुदा न करे

11- अब इन जले हुए जिस्मों पे ख़ुद ही साया करो
तुम्हें कहा था बता कर क़रीब आया करो
मैं उसके बाद महिनों उदास रहता हूँ
मज़ाक में भी मुझे हाथ मत लगाया करो

12- ज़ेहन से यादों के लश्कर जा चुके
वो मेरी महफ़िल से उठ कर जा चुके
मेरा दिल भी जैसे पाकिस्तान है
सब हुकूमत करके बाहर जा चुके

13- तुझको बतलाता मगर शर्म बहुत आती है
तेरी तस्वीर से जो काम लिया जाता है

14- मैंने जो कुछ भी सोचा हुआ है, मैं वो वक़्त आने पे कर जाऊँगा
तुम मुझे ज़हर लगते हो और मैं किसी दिन तुम्हें पी के मर जाऊँगा

15- ये दुक्ख अलग है कि उससे मैं दूर हो रहा हूँ
ये ग़म जुदा है वो ख़ुद मुझे दूर कर रहा है
तेरे बिछड़ने पर लिख रहा हूँ मैं ताज़ा ग़ज़लें
ये तेरा ग़म है जो मुझको मशहूर कर रहा है

16- मेरे आँसू नही थम रहे कि वो मुझसे जुदा हो गया
और तुम कह रहे हो कि छोड़ो अब ऐसा भी क्या हो गया
मय-कदों में मेरी लाइनें पढ़ते फिरते हैं लोग
मैंने जो कुछ भी पी कर कहा फ़लसफ़ा हो गया

17- अब ज़रूरी तो नही है कि वो सब कुछ कह दे
दिल मे जो कुछ भी हो आँखों से नज़र आता है
मैं उससे सिर्फ ये कहता हूं कि घर जाना है
और वो मारने मरने पे उतर आता है

18- इसीलिए तो सबसे ज़्यादा भाती हो
कितने सच्चे दिल से झूठी क़समें खाती हो

19- जैसे तुमने वक़्त को हाथ में रोका हो
सच तो ये है तुम आँखों का धोख़ा हो

20- कौन तुम्हारे पास से उठ कर घर जाता है
तुम जिसको छू लेती हो वो मर जाता है


Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 455