Tehzeeb Hafi Poetry

mujhse mat poocho ki mujhko aur kya kya yaad hai


mujhse mat poocho ki mujhko aur kya kya yaad hai

mujhse mat poocho ki mujhko aur kya kya yaad hai
vo mere nazdeek aaya tha bas itna yaad hai

yun to dashte-dil mein kitnon ne qadam rakhe magar
bhool jaane par bhi ek naqsh-e-kaf-e-paa yaad hai

us badan ki ghaatiyan tak naqsh hain dil par mere
kohsaaron se samandar tak ko dariya yaad hai

mujhse vo kaafir musalmaan to na ho paaya kabhi
lekin usko vo tarjume ke saath kalmaa yaad hai
----------------------------------------------
मुझसे मत पूछो कि मुझको और क्या क्या याद है
वो मेरे नज़दीक आया था बस इतना याद है

यूँ तो दश्ते-दिल में कितनों ने क़दम रक्खे मग़र
भूल जाने पर भी एक नक़्श-ए-कफ़-ए-पा याद है

उस बदन की घाटियाँ तक नक़्श हैं दिल पर मेरे
कोहसारों से समंदर तक को दरिया याद है

मुझसे वो काफ़िर मुसलमाँ तो न हो पाया कभी
लेकिन उसको वो तरजुमे के साथ कलमा याद है

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 50