Tehzeeb Hafi Poetry

mohabbat khud apne liye jism chuntee hai


mohabbat khud apne liye jism chuntee hai

mohabbat khud apne liye jism chuntee hai
aur jaal bunati hai unke liye
jo ye aag apne seenon mein bharne ko taiyyaar hon
ghut ke jeene se bezaar hon
mohabbat kabhi ek se
ya kabhi ek sau ek logon se
hone ka ailaan ek saath karti hai
ismein kai umr jinki koi qadr nahin
mohabbat kisi bench par
ek mard aur aurat ne khaai hui ik adhuri qasam hai
mohabbat mein mar jaana marna nahin
mohabbat to khud devataaon ka punarjanam hai
mohabbat kisi rahebaan ki kalaaee se utri hui choodiyon ki khanak hai
mohabbat kisi ek murda sitaare ko khairaat mein milne waali chamak hai
mohabbat pe shak to khud apne hi hasti pe shak hai
mohabbat to mehboob ke qadd-o-kaamat se janmi hui vo alaamat hai
aur tez baarish mein sahme hue haathiyo par badi chhatriyon ki tarah hai
mohabbat sard mulkon mein waapas palatte hue apne zakhami paron se khalaon mein lahu ki lakeeren banaati hui
goonj hai moonj hai
aur dil ki zameenon ko sairaab karti hui
nahar hai qahar hai zehar hai
jo ragon mein utarkar badan ko udaasi ke us shehar mein maar-kar khair aabaad kahti hai
jo calvino ne bas zehan mein tasavvur kiya tha
jo masjid mein sipaaron ko seenon mein mahfooz karte hue
bacchiyon ko khuda se daraate hue maulvi ka makar hai mohabbat
kaleesaon mein roosi akhrot ki lakdiyon se bani kursiyon par buzurgon ki aankhon mein marne ka dar hai mohabbat
mohabbat zaheenon pe khulti hai isko kabhi kund zehnon se koi naaka nahin
mohabbat ko kya koi apna hai ya ghair hai
ismein aadmi sab kuchh lutaakar bhi kehta hai ki khair hai 
-----------------------------------------------
मोहब्बत ख़ुद अपने लिए जिस्म चुनती है
और जाल बुनती है उनके लिए
जो ये आग अपने सीनों में भरने को तय्यार हों
घुट के जीने से बेज़ार हों
मोहब्बत कभी एक से
या कभी एक सौ एक लोगों से
होने का ऐलान एक साथ करती है
इसमें कई उम्र जिनकी कोई क़द्र नहीं
मोहब्बत किसी बेंच पर
एक मर्द और औरत ने खाई हुई इक अधूरी क़सम है
मोहब्बत में मर जाना मरना नहीं
मोहब्बत तो ख़ुद देवताओं का पुनर्जनम है
मोहब्बत किसी राहेबाँ की कलाई से उतरी हुई चूड़ियों की खनक है
मोहब्बत किसी एक मुर्दा सितारे को ख़ैरात में मिलने वाली चमक है
मोहब्बत पे शक तो ख़ुद अपने ही हस्ती पे शक है
मोहब्बत तो महबूब के क़द्द-ओ-कामत से जन्मी हुई वो अलामत है
और तेज़ बारिश में सहमे हुए हाथियों पर बड़ी छतरियों की तरह है
मोहब्बत सर्द मुल्कों में वापस पलटते हुए अपने ज़ख़्मी परों से ख़लाओं में लहू की लकीरें बनाती हुई
गूँज है, मूँज है
और दिल की ज़मीनों को सैराब करती हुई
नहर है, क़हर है, ज़हर है
जो रगों में उतरकर बदन को उदासी के उस शहर में मारकर ख़ैर आबाद कहती है
जो कैलोविनो ने बस ज़ेहन में तसव्वुर किया था
जो मस्जिद में सिपारों को सीनों में महफ़ूज़ करते हुए
बच्चियों को ख़ुदा से डराते हुए मौलवी का मकर है मोहब्बत
कलीसाओं में रूसी अखरोट की लकड़ियों से बनी कुर्सियों पर बुज़ुर्गों की आँखों में मरने का डर है मोहब्बत
मोहब्बत ज़हीनों पे खुलती है इसको कभी कुंद ज़ेहनों से कोई नाका नहीं
मोहब्बत को क्या कोई अपना है या ग़ैर है
इसमें आदमी सब कुछ लुटाकर भी कहता है कि ख़ैर है


Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 286