Jaun Elia Poetry

Maskan-e-maah-o-saal chhod gaya


Maskan-e-maah-o-saal chhod gaya

Maskan-e-maah-o-saal chhod gaya
Dil ko us ka khayal chhod gaya

Tazah-dam jism-o-jaan the furqat mein
Wasl us ka nidhaal chhod gaya

Ahd-e-maazi jo tha ajab pur-haal
Ek veeraan haal chhod gaya

Jhala-baari ke marhalon ka safar
Qafile payemal chhod gaya

Dil ko ab ye bhi yaad ho ke na ho
Kaun tha kya malaal chhod gaya

Main bhi ab khud se hoon jawab-talab
Woh mujhe be-sawaal chhod gaya
-------------------------------------
मस्कन-ए-माह-ओ-साल छोड़ गया
दिल को उस का ख़याल छोड़ गया

ताज़ा-दम जिस्म-ओ-जाँ थे फ़ुर्क़त में
वस्ल उस का निढाल छोड़ गया

अहद-ए-माज़ी जो था अजब पुर-हाल
एक वीरान हाल छोड़ गया

झाला-बारी के मरहलों का सफ़र
क़ाफ़िले पाएमाल छोड़ गया

दिल को अब ये भी याद हो कि न हो
कौन था क्या मलाल छोड़ गया

मैं भी अब ख़ुद से हूँ जवाब-तलब
वो मुझे बे-सवाल छोड़ गया


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 32