Jaun Elia Poetry

Jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakhha hai naam


Jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakhha hai naam

Jo guzar dushman hai us ka rahguzar rakhha hai naam
Zaat se apni na hilne ka safar rakhha hai naam

Pad gaya hai ik bhawar us ko samajh baithe hain ghar
Lahar uthi hai lahar ka deewar-o-dar rakhha hai naam

Naam jis ka bhi nikal jaye usi par hai madar
Us ka hona ya na hona kya, magar rakhha hai naam

Hum yahaan khud aaye hain laaya nahi koi humein
Aur Khuda ka hum ne apne naam par rakhha hai naam

Chaak-e-chaaki dekh kar pairahan-e-pahnai ki
Main ne apne har nafs ka bakhiya-gar rakhha hai naam

Mera seena koi chalni bhi agar kar de to kya
Main ne to ab apne seene ka sipar rakhha hai naam

Din hue par tu kahin hona kisi bhi shakl mein
Jaag kar khwabon ne tera raat bhar rakhha hai naam
------------------------------------------------------
जो गुज़र दुश्मन है उस का रहगुज़र रक्खा है नाम
ज़ात से अपनी न हिलने का सफ़र रक्खा है नाम

पड़ गया है इक भँवर उस को समझ बैठे हैं घर
लहर उठी है लहर का दीवार-ओ-दर रक्खा है नाम

नाम जिस का भी निकल जाए उसी पर है मदार
उस का होना या न होना क्या, मगर रक्खा है नाम

हम यहाँ ख़ुद आए हैं लाया नहीं कोई हमें
और ख़ुदा का हम ने अपने नाम पर रक्खा है नाम

चाक-ए-चाकी देख कर पैराहन-ए-पहनाई की
मैं ने अपने हर नफ़्स का बख़िया-गर रक्खा है नाम

मेरा सीना कोई छलनी भी अगर कर दे तो क्या
मैं ने तो अब अपने सीने का सिपर रक्खा है नाम

दिन हुए पर तू कहीं होना किसी भी शक्ल में
जाग कर ख़्वाबों ने तेरा रात भर रक्खा है नाम


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 29