Tehzeeb Hafi Poetry

Ik tira hijr daimi hai mujhe


Ik tira hijr daimi hai mujhe

Ik tira hijr daimi hai mujhe
varna har chiiz aarzi hai mujhe

ek saaya mire taaqub men
ek avaz DhunDti hai mujhe

meri ankhon pe do muqaddas haath
ye andhera bhi raushni hai mujhe

main suḳhan men huun us jagah ki jahan
saañs lena bhi sha.iri hai mujhe

in parindon se bolna sikha
peḌ se ḳhamushi mili hai mujhe

main use kab ka bhul-bhal chuka
zindagi hai ki ro rahi hai mujhe

main ki kaghaz ki ek kashti huun
pahli barish hi aḳhiri hai mujhe
---------------------------------
इक तेरा हिज्र दायमी है मुझे,
वरना हर चीज़ आरज़ी है मुझे।

एक साया मेरे तआक़ुब में,
एक आवाज़ ढूंढती है मुझे।

मेरी आँखों पे दो मुक़द्दस हाथ,
ये अँधेरा भी रौशनी है मुझे।

मैं सुख़न में हूँ उस जगह की जहाँ,
साँस लेना भी शायरी है मुझे।

इन परिंदों से बोलना सीखा,
पेड़ से ख़ामोशी मिली है मुझे।

मैं उसे कब का भूल-भाल चुका,
ज़िंदगी है कि रो रही है मुझे।

मैं कि काग़ज़ की एक कश्ती हूँ,
पहली बारिश ही आख़िरी है मुझे।


Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 917