Jaun Elia Poetry

Hawas mein to na the phir bhi kya na kar aaye


Hawas mein to na the phir bhi kya na kar aaye

Hawas mein to na the phir bhi kya na kar aaye
Ki daar par gaye hum aur phir utar aaye

Ajeeb haal ke majnoon the jo ba-ishwa-o-naaz
Ba-soo-e-baad ye mahmil mein baith kar aaye

Kabhi gaye the miyaan jo khabar ke sehra ki
Wo aaye bhi to bagoolon ke saath ghar aaye

Koi junoon nahi saudaaiyaan-e-sehra ko
Ki jo azaab bhi aaye wo shehr par aaye

Batao daam guru chahiye tumhein ab kya
Parindgaan-e-hawa khaak par utar aaye

Ajab khuloos se rukhsat kiya gaya hum ko
Khayaal-e-khaam ka taawaan tha so bhar aaye
----------------------------------------------
हवास में तो न थे फिर भी क्या न कर आए
कि दार पर गए हम और फिर उतर आए

अजीब हाल के मजनूँ थे जो ब-इश्वा-ओ-नाज़
ब-सू-ए-बाद ये महमिल में बैठ कर आए

कभी गए थे मियाँ जो ख़बर के सहरा की
वो आए भी तो बगूलों के साथ घर आए

कोई जुनूँ नहीं सौदाइयान-ए-सहरा को
कि जो अज़ाब भी आए वो शहर पर आए

बताओ दाम गुरु चाहिए तुम्हें अब क्या
परिंदगान-ए-हवा ख़ाक पर उतर आए

अजब ख़ुलूस से रुख़्सत किया गया हम को
ख़याल-ए-ख़ाम का तावान था सो भर आए


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 29