Abbas Tabish Poetry

Hansne nahin deta kabhi rone nahin deta


Hansne nahin deta kabhi rone nahin deta

hansne nahin deta kabhi rone nahin deta
ye dil to koi kaam bhi hone nahin deta

tum maang rahe ho mire dil se miri ḳhvahish
bachcha to kabhi apne khilaune nahin deta

main aap uThata huun shab-o-roz Ki zillat
ye bojh kisi aur ko Dhone nahin deta

vo kaun hai us se to main vaqif bhi nahin huun
jo mujh ko kisi aur ka hone nahin deta
-----------------------------------------
हँसने नहीं देता कभी, रोने नहीं देता,
ये दिल तो कोई काम भी होने नहीं देता।

तुम माँग रहे हो मेरे दिल से मेरी ख़्वाहिश,
बच्चा तो कभी अपने खिलौने नहीं देता।

मैं आप उठाता हूँ, शब-ओ-रोज़ की जिल्लत,
ये बोझ किसी और को धोने नहीं देता।

वो कौन है, उससे तो मैं वाकिफ़ भी नहीं हूँ,
जो मुझको किसी और का होने नहीं देता।


Poet - Abbas Tabish
Location: Vehari, Lahore, Pakistan
Views: 78