Waseem Barelavi Poetry

hamaara azm-e-safar kab kidhar ka ho jaaye


hamaara azm-e-safar kab kidhar ka ho jaaye

hamaara azm-e-safar kab kidhar ka ho jaaye
ye vo nahin jo kisi raahguzaar ka ho jaaye

usi ko jeene ka haq hai jo is zamaane mein
idhar ka lagta rahe aur udhar ka ho jaaye

khuli hawaon mein udna to us ki fitrat hai
parinda kyun kisi shaakh-e-shajar ka ho jaaye

main laakh chaahoon magar ho to ye nahin saka
ki tera chehra meri hi nazar ka ho jaaye

mera na hone se kya farq us ko padna hai
pata chale jo kisi kam-nazar ka ho jaaye

waseem subh ki tanhaai-e-safar socho
mushaaira to chalo raat bhar ka ho jaaye 
---------------------------------------
हमारा अज़्म-ए-सफ़र कब किधर का हो जाए
ये वो नहीं जो किसी रहगुज़र का हो जाए

उसी को जीने का हक़ है जो इस ज़माने में
इधर का लगता रहे और उधर का हो जाए

खुली हवाओं में उड़ना तो उस की फ़ितरत है
परिंदा क्यूं किसी शाख़-ए-शजर का हो जाए

मैं लाख चाहूं मगर हो तो ये नहीं सकता
कि तेरा चेहरा मिरी ही नज़र का हो जाए

मिरा न होने से क्या फ़र्क़ उस को पड़ना है
पता चले जो किसी कम-नज़र का हो जाए

'वसीम' सुब्ह की तन्हाई-ए-सफ़र सोचो
मुशाएरा तो चलो रात भर का हो जाए

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 30