Jaun Elia Poetry

Furqat mein waslat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein


Furqat mein waslat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein

Furqat mein waslat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein
Aashob-e-wahdat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein

Rooh-e-kul se sab roohon par wasl ki hasrat taari hai
Ek sar-e-hikmat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein

Be-ahwaali ki haalat hai shayad ya shayad ki nahin
Par ahwaliyyat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein

Mukhtari ke lab silwana jabr ajab-tar thehra hai
Haijaan-e-ghairat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein

Baba Alif irshaad-kunaa hain pesh-e-adam ke baare mein
Hairat be-hairat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein

Ma’ani hain lafzon se barham qahr-e-khamoshi aalam hai
Ek ajab hujjat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein

Maujoodi se inkaari hai apni zid mein naaz-e-wujood
Haalat si haalat barpa hai Allah-Hoo ke baade mein
--------------------------------------------------
फ़ुर्क़त में वसलत बरपा है अल्लाह-हू के बाड़े में
आशोब-ए-वहदत बरपा है अल्लाह-हू के बाड़े में

रूह-ए-कुल से सब रूहों पर वस्ल की हसरत तारी है
इक सर-ए-हिकमत बरपा है अल्लाह-हू के बाड़े में

बे-अहवाली की हालत है शायद या शायद कि नहीं
पर अहवालिय्यत बरपा है अल्लाह-हू के बाड़े में

मुख़्तारी के लब सिलवाना जब्र अजब-तर ठहरा है
हैजान-ए-ग़ैरत बरपा है अल्लाह-हू के बाड़े में

बाबा अलिफ़ इरशाद-कुनाँ हैं पेश-ए-अदम के बारे में
हैरत बे-हैरत बरपा है अल्लाह-हू के बाड़े में

मा'नी हैं लफ़्ज़ों से बरहम क़हर-ए-ख़मोशी आलम है
एक अजब हुज्जत बरपा है अल्लाह-हू के बाड़े में

मौजूदी से इंकारी है अपनी ज़िद में नाज़-ए-वजूद
हालत सी हालत बरपा है अल्लाह-हू के बाड़े में


Poet - Jaun Elia
Location: Amroha, Uttar Pradesh, India
Views: 27