Tehzeeb Hafi Poetry

ek aur shakhs chhodkar chala gaya to kya hua


ek aur shakhs chhodkar chala gaya to kya hua

ek aur shakhs chhodkar chala gaya to kya hua
hamaare saath kaun sa ye pehli martaba hua

azl se in hateliyon mein hijr ki lakeer thi
tumhaara dukh to jaise mere haath mein bada hua

mere khilaaf dushmanon ki saf mein hai vo aur main
bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua 
----------------------------------------
एक और शख़्स छोड़कर चला गया तो क्या हुआ
हमारे साथ कौन सा ये पहली मर्तबा हुआ।

अज़ल से इन हथेलियों में हिज्र की लकीर थी
तुम्हारा दुःख तो जैसे मेरे हाथ में बड़ा हुआ

मेरे खिलाफ दुश्मनों की सफ़ में है वो और मैं
बहुत बुरा लगूँगा उस पर तीर खींचता हुआ
 

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 46