Waseem Barelavi Poetry

dua karo ki koi pyaas nazr-e-jaam na ho


dua karo ki koi pyaas nazr-e-jaam na ho

dua karo ki koi pyaas nazr-e-jaam na ho
vo zindagi hi nahin hai jo na-tamaam na ho

jo mujh mein tujh mein chala aa raha hai sadiyon se
kahi hayaat usi faasle ka naam na ho

koi charaagh na aansu na aarzoo-e-seher
khuda kare ki kisi ghar mein aisi shaam na ho

ajeeb shart lagaaee hai ehtiyaaton ne
ki tera zikr karoon aur tera naam na ho

saba-mizaaj ki tezi bhi ek ne'mat hai
agar charaagh bujhaana hi ek kaam na ho

waseem kitni hi subhen lahu lahu guzriin
ik aisi subh bhi aaye ki jis ki shaam na ho
---------------------------------------------
दुआ करो कि कोई प्यास नज़्र-ए-जाम न हो
वो ज़िंदगी ही नहीं है जो ना-तमाम न हो

जो मुझ में तुझ में चला आ रहा है सदियों से
कहीं हयात उसी फ़ासले का नाम न हो

कोई चराग़ न आँसू न आरज़ू-ए-सहर
ख़ुदा करे कि किसी घर में ऐसी शाम न हो

अजीब शर्त लगाई है एहतियातों ने
कि तेरा ज़िक्र करूँ और तेरा नाम न हो

सबा-मिज़ाज की तेज़ी भी एक ने'मत है
अगर चराग़ बुझाना ही एक काम न हो

'वसीम' कितनी ही सुब्हें लहू लहू गुज़रीं
इक ऐसी सुब्ह भी आए कि जिस की शाम न हो

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 26