Ali Zaryoun Poetry

chamakte din bahut chaalaak hai shab jaanti hai


chamakte din bahut chaalaak hai shab jaanti hai

chamakte din bahut chaalaak hai shab jaanti hai
use pehle nahin maaloom tha ab jaanti hai

ye rishtedaar usko isliye jhuthla rahe hain
vo rishta maangne waalon ka matlab jaanti hai

jo dukh usne sahe hain uski beti to na dekhe
vo maa hai aur maa hone ka mansab jaanti hai

ye agli rau mein baithi mujhse sarvat sunne waali
main uske vaaste aaya hoon ye sab jaanti hain 
---------------------------------------------
चमकते दिन बहुत चालाक है शब जानती है
उसे पहले नहीं मालूम था अब जानती है

ये रिश्तेदार उसको इसलिए झुठला रहे हैं
वो रिश्ता मांगने वालों का मतलब जानती है

जो दुख उसने सहे हैं उसकी बेटी तो ना देखे
वो मां है और मां होने का मनसब जानती है

ये अगली रौ में बैठी मुझसे सर्वत सुनने वाली
मैं उसके वास्ते आया हूं ये सब‌ जानती हैं

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 47