Waseem Barelavi Poetry

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka


chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka
tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka

iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka
zamaana hai zamaane ki nigaahon mein na aane ka

kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho
miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka

nigaahon mein koi bhi doosra chehra nahin aaya
bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka

ye main hi tha bacha ke khud ko le aaya kinaare tak
samandar ne bahut mauqa diya tha doob jaane ka 
-----------------------------------------------
चला है सिलसिला कैसा ये रातों को मनाने का
तुम्हें हक़ दे दिया किसने दियों के दिल दुखाने का

इरादा छोड़िए अपनी हदों से दूर जाने का
ज़माना है ज़माने की निगाहों में न आने का

कहाँ की दोस्ती किन दोस्तों की बात करते हो
मियाँ दुश्मन नहीं मिलता कोई अब तो ठिकाने का

निगाहों में कोई भी दूसरा चेहरा नहीं आया
भरोसा ही कुछ ऐसा था तुम्हारे लौट आने का

ये मैं ही था बचा के ख़ुद को ले आया किनारे तक
समन्दर ने बहुत मौक़ा दिया था डूब जाने का

Poet - Waseem Barelavi
Location: Swat Valley of Khyber Pakhtunkhwa, Pakistan
Views: 34