Ali Zaryoun Poetry

bujhi aankhon mein kirnen bhar rahi ho kaun ho tum


bujhi aankhon mein kirnen bhar rahi ho kaun ho tum

bujhi aankhon mein kirnen bhar rahi ho kaun ho tum
meri neendon ko roshan kar rahi ho kaun ho tum

mujh aise ghar mein to shaitaan bhi aata nahin hai
tum itne din mere andar rahi ho kaun ho tum

main jiski yaad mein roya hua hoon vo kahaan hai
mera tawaan tum kyun bhar rahi ho kaun ho tum

bhare majme se kamre tak tumheen laai ho mujhko
ab is tanhaai se khud dar rahi ho kaun ho tum 
---------------------------------------------------
बुझी आंखों में किरणें भर रही हो, कौन हो तुम?
मेरी नींदों को रोशन कर रही हो, कौन हो तुम?

मुझ ऐसे घर में तो शैतान भी आता नहीं है,
तुम इतने दिन मेरे अंदर रही हो, कौन हो तुम?

मैं जिसकी याद में 'रोया' हुआ हूँ वो कहाँ है?
मेरा तावान तुम क्यों भर रही हो, कौन हो तुम?

भरे मजमे से कमरे तक तुम्हीं लाई हो मुझको,
अब इस तन्हाई से खुद डर रही हो, कौन हो तुम?

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 35