Tehzeeb Hafi Poetry

ashk zaayein ho rahe the dekh kar rota na tha


ashk zaayein ho rahe the dekh kar rota na tha

ashk zaayein ho rahe the dekh kar rota na tha
jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha

sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye
main to vo hoon jo kisi ki maut par rota na tha

mujh pe kitne saanhe guzre par in aankhon ko kya
mera dukh ye hai ki mera hum-safar rota na tha

main ne us ke vasl mein bhi hijr kaata hai kahi
vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha

pyaar to pehle bhi us se tha magar itna nahin
tab main us ko choo to leta tha magar rota na tha

giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye
meri aankhen dekh lo main waqt par rota na tha 
------------------------------------------------
अश्क ज़ाएअ' हो रहे थे देख कर रोता न था
जिस जगह बनता था रोना मैं उधर रोता न था

सिर्फ़ तेरी चुप ने मेरे गाल गीले कर दिए
मैं तो वो हूँ जो किसी की मौत पर रोता न था

मुझ पे कितने सानहे गुज़रे पर इन आँखों को क्या
मेरा दुख ये है कि मेरा हम-सफ़र रोता न था

मैं ने उस के वस्ल में भी हिज्र काटा है कहीं
वो मिरे काँधे पे रख लेता था सर रोता न था

प्यार तो पहले भी उस से था मगर इतना नहीं
तब मैं उस को छू तो लेता था मगर रोता न था

गिर्या-ओ-ज़ारी को भी इक ख़ास मौसम चाहिए
मेरी आँखें देख लो मैं वक़्त पर रोता न था

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 39