Bashir Badr Poetry

Ankhon men raha dil men utar kar nahin dekha


Ankhon men raha dil men utar kar nahin dekha

ankhon men raha dil men utar kar nahin dekha
kashti ke musafir ne samundar nahin dekha

be-vaqt agar jaunga sab chauuk paḌenge
ik umr hui din men kabhi ghar nahin dekhā

jis din se chala huuu miri manzil pe nazar hai
ankhon ne kabhi miil ka patthar nahin dekha

ye phuul mujhe koi virasat men mile hain
tum ne mira kanTon bhara bistar nahin dekha

yaron ki mohabbat ka yaqin kar liya main ne
phulon men chhupaya hua ḳhanjar nahin dekha

mahbub ka ghar ho ki buzurgon ki zaminen
jo chhod diya phir use mud kar nahin dekha

ḳhat aisa likha hai ki nagine se jaḌe hain
vo haath ki jis ne koi zevar nahin dekha

patthar mujhe kahta hai mira chahne vaala
main mom huun us ne mujhe chhu kar nahin dekha
------------------------------------------------
आँखों में रहा दिल में उतर कर नहीं देखा
कश्ती के मुसाफिर ने समंदर नहीं देखा

बेवक्त अगर जाऊँगा सब चौंक पड़ेंगे
एक उम्र हुई दिन में कभी घर नहीं देखा

जिस दिन से चला हूँ मेरी मंजिल पे नजर है
आँखों ने कभी मिल का पत्थर नहीं देखा

ये फूल मुझे कोई विरासत में मिले हैं
तुम ने मेरा कांटों भरा बिस्तर नहीं देखा

यारों की मोहब्बत का यकीन कर लिया मैंने
फूलों में छुपाया हुआ खंजर नहीं देखा

महबूब का घर हो कि बुजुर्गों की ज़मीनें
जो छोड़ दिया फिर उसे मुड़ कर नहीं देखा

खत ऐसा लिखा है कि नगीनों से जुड़े हैं
वो हाथ की जिसने कोई ज़ेवर नहीं देखा

पत्थर मुझे कहता है मेरा चाहने वाला
मैं मोम हूँ उसने मुझे छू कर नहीं देखा

Poet - Bashir Badr
Location: Faizabad, Uttar Pradesh, India
Views: 73