Tehzeeb Hafi Poetry

ab majeed usse ye rishta nahin rakha jaata


ab majeed usse ye rishta nahin rakha jaata

ab majeed usse ye rishta nahin rakha jaata
jis se ik shakhs ka pardaa nahin rakha jaata

ek to bas mein nahin tujh se muhabbat na karu
aur phir haath bhi halka nahin rakha jaata

padhne jaata hoon to tasmee nahin baande jaate
ghar palatta hoon to basta nahin rakha jaata

dar-o-deewar pe jungle ka gumaan hota hai
mujh se ab ghar mein parinda nahin rakha jaata 
---------------------------------------------
अब मजीद उससे ये रिश्ता नहीं रखा जाता
जिस से इक शख़्स का परदा नहीं रखा जाता

एक तो बस में नहीं तुझ से मुहब्बत न करू
और फिर हाथ भी हल्का नहीं रखा जाता

पढ़ने जाता हूं तो तस्मे नहीं बांदे जाते
घर पलटता हूं तो बस्ता नहीं रखा जाता

दर-ओ-दीवार पे जंगल का गुमां होता है
मुझ से अब घर में परिंदा नहीं रखा जाता

Poet - Tehzeeb Hafi
Location: etra, Tehsil Taunsa Sharif (Dera Ghazi Khan District), Pakistan
Views: 40