Ali Zaryoun Poetry

aasaan to ye kaar-e-wafa hota nahin hai


aasaan to ye kaar-e-wafa hota nahin hai

aasaan to ye kaar-e-wafa hota nahin hai
kehne ko to kahte hain kiya hota nahin hai

awwal to main naraaz nahin hota hoon lekin
ho jaaun to phir mujh sa bura hota nahin hai

gusse mein to vo maa ki tarha hota hai bilkul
lagta hai khafa sach mein khafa hota nahin hai

tum mere liye jang karoge are chhodo
tumse to miyaan milne bhi aa hota nahin hai

ham apni mohabbat mein samajh le to samajh le
vaise kisi bande mein khuda hota nahin hai

kahte hain khuda vo hai ki jo kah de to sab ho
vaise mere kehne se bhi kya hota nahin hai

eimaan hai ya chaand ko laana hai zameen par
kahte ho ki le aata hoon la hota nahin hai

mujh par jo ali khaas karam hai to mere dost
har dil bhi to mujh jaisa siya hota nahin hai 
----------------------------------------
आसान तो ये कार-ए-वफ़ा होता नहीं है
कहने को तो कहते हैं किया होता नहीं है

अव्वल तो मैं नाराज नहीं होता हूं लेकिन
हो जाऊं तो फिर मुझ सा बुरा होता नहीं है

गुस्से में तो वो मां की तरहा होता है बिल्कुल
लगता है खफा सच में खफा होता नहीं है

तुम मेरे लिए जंग करोगे अरे छोड़ो
तुमसे तो मियां मिलने भी आ होता नहीं है

हम अपनी मोहब्बत में समझ ले तो समझ ले
वैसे किसी बंदे में खुदा होता नहीं है

कहते हैं खुदा वो है की जो कह दे तो सब हो
वैसे मेरे कहने से भी क्या होता नहीं है

ईमान है या चांद को लाना है ज़मीं पर
कहते हो कि ले आता हूं ला होता नहीं है

मुझ पर जो अली खास करम है तो मेरे दोस्त
हर दिल भी तो मुझ जैसा सिया होता नहीं है

Poet - Ali Zaryoun
Location: Faisalabad, Pakistan
Views: 34