Ahmed Faraz Poetry

Mile to hum aaj bhi hain lekin


Mile to hum aaj bhi hain lekin

Mile to hum aaj bhi hain lekin
Na mere dil mein wo tishnagi thi

Ke tujh se mil kar kabhi na bichhdoon
Na aaj tujh mein wo zindagi thi

Ke jism-o-jaan mein ubaal aaye
Na khwab-zaaron mein roshni thi

Na meri aankhen charaagh ki lau
Na tujh mein hi khud-supurdagi thi

Na baat karne ki koi khwahish
Na chup hi mein khoobsurti thi

Mujassamon ki tarah the dono
Na dosti thi na dushmani thi

Mujhe to kuch yun laga hai jaise
Wo saa’atain bhi guzar gayi hain

Ke jin ko hum la-zawaal samjhe
Wo khwahishein bhi to mar gayi hain

Jo tere mere lahoo ki hiddat
Ko aakhirash barf kar gayi hain

Mohabbatein shauq ki chatanon
Se ghaatiyon mein utar gayi hain

Wo qurbatein, wo judaaiyan sab
Gubaar ban kar bikhar gayi hain

Agar ye sab kuch nahi to batla
Wo chahatain ab kidhar gayi hain
--------------------------
मिले तो हम आज भी हैं लेकिन
न मेरे दिल में वो तिश्नगी थी

कि तुझ से मिल कर कभी न बिछड़ूँ
न आज तुझ में वो ज़िंदगी थी

कि जिस्म-ओ-जाँ में उबाल आए
न ख़्वाब-ज़ारों में रौशनी थी

न मेरी आँखें चराग़ की लौ
न तुझ में ही ख़ुद-सुपुर्दगी थी

न बात करने की कोई ख़्वाहिश
न चुप ही में ख़ूब-सूरती थी

मुजस्समों की तरह थे दोनों
न दोस्ती थी न दुश्मनी थी

मुझे तो कुछ यूँ लगा है जैसे
वो साअ'तें भी गुज़र गई हैं

कि जिन को हम ला-ज़वाल समझे
वो ख़्वाहिशें भी तो मर गई हैं

जो तेरे मेरे लहू की हिद्दत
को आख़िरश बर्फ़ कर गई हैं

मोहब्बतें शौक़ की चटानों
से घाटियों में उतर गई हैं

वो क़ुर्बतें वो जुदाइयाँ सब
ग़ुबार बन कर बिखर गई हैं

अगर ये सब कुछ नहीं तो बतला
वो चाहतें अब किधर गई हैं


Poet - Ahmed Faraz
Location: Kohat, British India (now in Pakistan)
Views: 430