Faiz Ahmed Faiz Poetry

tum na aaye the to har ik cheez wahi thi ki jo hai


tum na aaye the to har ik cheez wahi thi ki jo hai

tum na aaye the to har ik cheez wahi thi ki jo hai
aasmaan hadd-e-nazar raahguzar raahguzar sheesha-e-may sheesha-e-may
aur ab sheesha-e-may raahguzar rang-e-falak
rang hai dil ka mere khoon-e-jigar hone tak
champai rang kabhi rahat-e-deedaar ka rang
surmai rang ki hai saaat-e-bezaar ka rang
zard patton ka khas-o-khaar ka rang
surkh phoolon ka dahakte hue gulzaar ka rang
zahar ka rang lahu rang shab-e-taar ka rang
aasmaan raahguzar sheesha-e-may
koi bheega hua daaman koi dukhti hui rag
koi har lahza badalta hua aaina hai
ab jo aaye ho to thehro ki koi rang koi rut koi shay
ek jagah par thehre
phir se ik baar har ik cheez wahi ho ki jo hai
aasmaan hadd-e-nazar raahguzar raahguzar sheesha-e-may sheesha-e-may
-----------------------------------------------
तुम न आए थे तो हर इक चीज़ वही थी कि जो है
आसमाँ हद्द-ए-नज़र राहगुज़र राहगुज़र शीशा-ए-मय शीशा-ए-मय
और अब शीशा-ए-मय राहगुज़र रंग-ए-फ़लक
रंग है दिल का मिरे ख़ून-ए-जिगर होने तक
चम्पई रंग कभी राहत-ए-दीदार का रंग
सुरमई रंग कि है साअत-ए-बेज़ार का रंग
ज़र्द पत्तों का ख़स-ओ-ख़ार का रंग
सुर्ख़ फूलों का दहकते हुए गुलज़ार का रंग
ज़हर का रंग लहू रंग शब-ए-तार का रंग
आसमाँ राहगुज़र शीशा-ए-मय
कोई भीगा हुआ दामन कोई दुखती हुई रग
कोई हर लहज़ा बदलता हुआ आईना है
अब जो आए हो तो ठहरो कि कोई रंग कोई रुत कोई शय
एक जगह पर ठहरे
फिर से इक बार हर इक चीज़ वही हो कि जो है
आसमाँ हद्द-ए-नज़र राहगुज़र राहगुज़र शीशा-ए-मय शीशा-ए-मय


Poet - Faiz Ahmed Faiz
Location: Sialkot, Pakistan
Views: 49